Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhobi ka ghaT

Meeraji

dhobi ka ghaT

Meeraji

MORE BYMeeraji

    jis shaḳhs ke malbūs qismat meñ likhī hai

    kirnoñ tamāzat

    rashk aatā hai mujh ko

    us par

    kyuuñ sirf achhūtā

    anjān anokhā

    ik ḳhvāb hai ḳhalvat

    kyuuñ sirf tasavvur

    bahlātā hai mujh ko

    kyuuñ sub.h-e-shab-e-aish jhoñkā

    ban kar

    ruḳhsār ke be-nām aziyyat

    sahlātā hai mujh ko?

    kyuuñ ḳhvāb-e-fusūñ-gar qubā chaak nahīñ hai

    kyuuñ gesu-e-pechīda-o-raqsāñ

    namnāk nahīñ hai

    ashk-e-dil-e-ḳhūñ se

    kyuuñ lams hasrat ke junūñ se

    miltī nahīñ mujh ko

    be-qaid rihā.ī

    malbūs pe kirnoñ tamāzat

    hai daam nazar

    aur sub.h-e-shab-e-aish ko gesū mahaktā huā jhoñkā

    marhūn sahar

    hotā nahīñ hai

    kyuuñ dho.e na pairāhan-e-ālūda ke dhabbe

    maḳhmūr-e-masarrat

    kirnoñ tamāzat

    ban jaa.e na kyuuñ rañg-e-shab-e-aish ik aks-e-musalsal

    majbūr-e-aziyyat

    to maan le is aks manzar

    detā hai tujhe jām-e-chashīda lazzat

    kyuuñ soch rahā hai

    jhūTā hai ye pyāla

    kyā aaj zamāne meñ kahīñ dekhī hai ne

    doshīza masarrat?

    phaile hue malbūs pe kirnoñ tamāzat

    hai ziist ke gesū harārat

    is shaḳhs ko pairāhan-e-ālūda ke dhone se rozī

    miltī hai jahāñ meñ

    to us pe nazar kar

    jis shaKHs ke malbus ki qismat mein likhi hai

    kirnon ki tamazat

    rashk aata hai mujh ko

    us par

    kyun sirf achhuta

    anjaan anokha

    ek KHwab hai KHalwat

    kyun sirf tasawwur

    bahlata hai mujh ko

    kyun subh-e-shab-e-aish ka jhonka

    ban kar

    ruKHsar ke be-nam aziyyat

    sahlata hai mujh ko?

    kyun KHwab-e-fusun-gar ki quba chaak nahin hai

    kyun gesu-e-pechida-o-raqsan

    namnak nahin hai

    ashk-e-dil-e-KHun se

    kyun lams ki hasrat ke junun se

    milti nahin mujh ko

    be-qaid rihai

    malbus pe kirnon ki tamazat

    hai dam nazar ka

    aur subh-e-shab-e-aish ko gesu ka mahakta hua jhonka

    marhun sahar ka

    hota hi nahin hai

    kyun dhoe na pairahan-e-aluda ke dhabbe

    maKHmur-e-masarrat

    kirnon ki tamazat

    ban jae na kyun rang-e-shab-e-aish ka ek aks-e-musalsal

    majbur-e-aziyyat

    to man le is aks ka manzar

    deta hai tujhe jam-e-chashida ki si lazzat

    kyun soch raha hai

    jhuTa hai ye pyala

    kya aaj zamane mein kahin dekhi hai tu ne

    doshiza masarrat?

    phaile hue malbus pe kirnon ki tamazat

    hai zist ke gesu ki hararat

    is shaKHs ko pairahan-e-aluda ke dhone hi se rozi

    milti hai jahan mein

    to us pe nazar kar

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now