mel utarna mushkil lagta hai
saare din ke mel ko
jism se utārnā mushkil lagtā hai
sar ko din bhar kī dhuul se
fāriġh karnā
aur phir gardan ke kaale dā.ere ko
halkā karnā
sābun ke bulbuloñ se
phir āhista āhista un golā.iyoñ kī taraf
baḌhnā
jin par mel kabhī nahīñ chaḌhtā
zarā sī tirchhī
ek taraf ko jhukī huī
sadā kī chamkī-chamkā.ī
unheñ maiñ ab nahīñ dhotī
phir ubhre hue peT par
barsoñ kā pasīna
jame hue chewing-gum kī tarah
kabhī nahīñ utartā
sābun ke jhaag ke bulbule tezī se
us par phūTte rahte haiñ
aur phir be-hañgam kūlhoñ kī
baarī aatī hai
kabhī jab meñ chaltī thī
to sar-phire palaT palaT kar
un ke utarne chaḌhne ko
ghūrte rahte the
naaf se le kar nāḳhunoñ tak
sābun be-Dol jhaag banātā hai
jhaag aur poroñ kī āñkh-micholī
jo mel pasīna ban kar bah jaatī hai
ab jism se mel utārnā
mushkil lagtā hai
sare din ke mel ko
jism se utarna mushkil lagta hai
sar ko din bhar ki dhul se
farigh karna
aur phir gardan ke kale daere ko
halka karna
sabun ke bulbulon se
phir aahista aahista un golaiyon ki taraf
baDhna
jin par mel kabhi nahin chaDhta
zara si tirchhi
ek taraf ko jhuki hui
sada ki chamki-chamkai
unhen main ab nahin dhoti
phir ubhre hue peT par
barson ka pasina
jame hue chewing-gum ki tarah
kabhi nahin utarta
sabun ke jhag ke bulbule tezi se
us par phuTte rahte hain
aur phir be-hangam kulhon ki
bari aati hai
kabhi jab mein chalti thi
to sar-phire palaT palaT kar
un ke utarne chaDhne ko
ghurte rahte the
naf se le kar naKHunon tak
sabun be-Dol jhag banata hai
jhag aur poron ki aankh-micholi
jo mel pasina ban kar bah jati hai
ab jism se mel utarna
mushkil lagta hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 96)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.