mera desh
tāj-mahal hai jhūmar is kā kāshmīr hai gahnā
kanyakumari paa.el is kī desh kā hai kyā kahnā
mere desh kā kyā kahnā
gangā jamunā is kī āñkheñ laal qila dil is kā
aaj himāla parbat jaisā hai mustaqbil is kā
koī nahīñ duniyā meñ dekho aaj muqābil is kā
mere desh kā kyā kahnā
jaliyāñ vaalā raaj siñghāsan āzādī kā taḳht-o-tāj
jāme.a masjid is kī izzat birlā mandir is kī laaj
roz savere sargam gaatī qudrat le kar apne saaz
mere desh kā kyā kahnā
din holī aur raat dīvālī tyauhāroñ kā desh hai ye
'ġhālib' aur 'tagore' kī dhartī fankāroñ kā desh hai ye
jām-e-shahādat piine vaale mai-ḳhvāroñ kā desh hai ye
mere desh kā kyā kahnā
taj-mahal hai jhumar is ka kashmir hai gahna
kanyakumari pael is ki desh ka hai kya kahna
mere desh ka kya kahna
ganga jamuna is ki aankhen lal qila dil is ka
aaj himala parbat jaisa hai mustaqbil is ka
koi nahin duniya mein dekho aaj muqabil is ka
mere desh ka kya kahna
jaliyan wala raj singhasan aazadi ka taKHt-o-taj
jamea masjid is ki izzat birla mandir is ki laj
roz sawere sargam gati qudrat le kar apne saz
mere desh ka kya kahna
din holi aur raat diwali tyauhaaron ka desh hai ye
'ghaalib' aur 'tagore' ki dharti fankaron ka desh hai ye
jam-e-shahadat pine wale mai-KHwaron ka desh hai ye
mere desh ka kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.