mera husn teri nigahon mein hai
bādal Takrā.e mohabbat kā zuhūr huā
bārish kī būñdoñ ne
pattoñ se chhan-chhan kar
kaliyoñ ke lab chūme
mornī lahak lahak kar jhūmī
pañkh khol kar raqs kiyā
goyā saarī zamīn aur haft āsmāñ
naddiyāñ jharne
us kī mamlikat hue
aur us hasīn shahzādī ne
nāchte nāchte pairoñ ko dekhā
yak-laḳht aañsū bahe
lekin mor ne sab se pahle
us ke pairoñ ko chūmā
safed pankh rañgoñ se mālā-māl hue
mor ne aañsū jazb kiye
aur mornī ke husn ne
falak ko qaus-e-quzah atā kī
baadal Takrae mohabbat ka zuhur hua
barish ki bundon ne
patton se chhan-chhan kar
kaliyon ke lab chume
morni lahak lahak kar jhumi
pankh khol kar raqs kiya
goya sari zamin aur haft aasman
naddiyan jharne
us ki mamlikat hue
aur us hasin shahzadi ne
nachte nachte pairon ko dekha
yak-laKHt aansu bahe
lekin mor ne sab se pahle
us ke pairon ko chuma
safed pankh rangon se mala-mal hue
mor ne aansu jazb kiye
aur morni ke husn ne
falak ko qaus-e-quzah ata ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.