mera kya hai tum socho na
merā kyā hai
maiñ kyoñ sochūñ
aage rasta band paḌā hai yā koī manzil bhī hai
chāroñ taraf pur-shor samundar yā koī sāhil bhī hai
chalte chalte paañv meñ chhāle paḌ jaa.eñ aur dard kā bhī ehsās nahīñ ho
maiñ kyoñ sochūñ koī jo mujh se ġhāfil bhī hai
merā kyā hai
bachpan kī pahlī Thokar se jis ne sañbhalnā siikh liyā ho
nāzuk kachchī umr se jis ne aag pe chalnā siikh liyā ho
Dar se bāhar aa kar jis ne har pal marnā siikh liyā ho
uḌnā jis kā maqsad ho aur jis ne uḌnā siikh liyā ho
maiñ kyoñ sochūñ
aane vaalā lamha merā dost hai yā ki dushman hai
dil kā milnā qaid-e-ghuTan hai yā sundar sā bandhan hai
mere jaisā merā saaya us par tan-man arpan hai
jīvan meñ hai prem chhupā yā prem meñ saarā jīvan hai
maiñ kyoñ sochūñ
merā kyā hai
ishq agar hai aag kā dariyā
phir mujh ko ye aag pasand hai
ek mohabbat sab kā hal hai
mujh ko bas ye raag pasand hai
maiñ kyoñ sochūñ
merā kyā hai
apnī aag meñ jalnā kyā hai ab maiñ chillātī huuñ
maiñ bhī patthar ho saktī huuñ yaad dilātī huuñ
rasta band jahāñ hotā hai DhūñD ke aatī huuñ
apne dam se patjhaḌ kī bhī pyaas bujhātī huuñ
merā kyā hai
tum socho nā
mera kya hai
main kyon sochun
aage rasta band paDa hai ya koi manzil bhi hai
chaaron taraf pur-shor samundar ya koi sahil bhi hai
chalte chalte panw mein chhaale paD jaen aur dard ka bhi ehsas nahin ho
main kyon sochun koi jo mujh se ghafil bhi hai
mera kya hai
bachpan ki pahli Thokar se jis ne sanbhalna sikh liya ho
nazuk kachchi umr se jis ne aag pe chalna sikh liya ho
Dar se bahar aa kar jis ne har pal marna sikh liya ho
uDna jis ka maqsad ho aur jis ne uDna sikh liya ho
main kyon sochun
aane wala lamha mera dost hai ya ki dushman hai
dil ka milna qaid-e-ghuTan hai ya sundar sa bandhan hai
mere jaisa mera saya us par tan-man arpan hai
jiwan mein hai prem chhupa ya prem mein sara jiwan hai
main kyon sochun
mera kya hai
ishq agar hai aag ka dariya
phir mujh ko ye aag pasand hai
ek mohabbat sab ka hal hai
mujh ko bas ye rag pasand hai
main kyon sochun
mera kya hai
apni aag mein jalna kya hai ab main chillati hun
main bhi patthar ho sakti hun yaad dilati hun
rasta band jahan hota hai DhunD ke aati hun
apne dam se patjhaD ki bhi pyas bujhati hun
mera kya hai
tum socho na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.