mera mazhab
jis se karnī thī tauba
vo hī ḳhud-baḳhud ḳhudā ban gayā
mere maz.hab meñ mohabbat ko
kisī bhī sūrat kufr nahīñ mānte
ve añdhere bechte rahe
ham ne raushnī dī be-mol
jaise ko taisā
hamāre yahāñ nek-dilī nahīñ mānte
jab kā.enāt hī saarī tohfa hai
phir hoḌ kis se kam bhī kaafī hai
ḳhud ko ham har
ḳhushī kā haqdār nahīñ mānte
jhuuT aur makkārī ke pā.edān chaḌh ke
bulandī jo paa.e aise bande ko
mere jahāñ meñ
koī sikandar nahīñ mānte
mushkiloñ meñ mā'nī milte haiñ apne
aur haqīqat donoñ ke kināroñ pe
khelne ko ham
mulāqāt-e-zindagī nahīñ mānte
vo shā'ir merī ruuh par jo
likh rahā hai vahī shabd hai
baaqī kisī nazm ko ham
shā'irī nahīñ mānte
jis se karni thi tauba
wo hi KHud-baKHud KHuda ban gaya
mere mazhab mein mohabbat ko
kisi bhi surat kufr nahin mante
we andhere bechte rahe
hum ne raushni di be-mol
jaise ko taisa
hamare yahan nek-dili nahin mante
jab kaenat hi sari tohfa hai
phir hoD kis se kam bhi kafi hai
KHud ko hum har
KHushi ka haqdar nahin mante
jhuT aur makkari ke paedan chaDh ke
bulandi jo pae aise bande ko
mere jahan mein
koi sikandar nahin mante
mushkilon mein ma'ni milte hain apne
aur haqiqat donon ke kinaron pe
khelne ko hum
mulaqat-e-zindagi nahin mante
wo sha'ir meri ruh par jo
likh raha hai wahi shabd hai
baqi kisi nazm ko hum
sha'iri nahin mante
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.