mera roza hai
koī kaam nahīñ karte ho
sab ko Taal diyā karte ho
net se tum chipke rahte ho
s-m-s karte rahte ho
ik roze kā kar ke bahāna
saarā din so.e rahte ho
apnī zid par aḌ jaate ho
zarā sī baat par laḌ paḌte ho
daadī jaan bulātī haiñ to
un kī baat nahīñ sunte ho
asr meñ tum ko niiñd aatī hai
ishā meñ tum ġhā.eb rahte ho
jis din iftārī kuchh kam ho
us din tum bigḌe rahte ho
raġhbat hai bas iftārī se
saharī meñ kam hī uThte ho
husn-e-ḳhulq ibādat hai naañ
is pe dhyān nahīñ dete ho
bhūke pyāse kyuuñ rahte ho
roze āḳhir kyuuñ rakhte ho
koi kaam nahin karte ho
sab ko Tal diya karte ho
net se tum chipke rahte ho
s-m-s karte rahte ho
ek roze ka kar ke bahana
sara din soe rahte ho
apni zid par aD jate ho
zara si baat par laD paDte ho
dadi jaan bulati hain to
un ki baat nahin sunte ho
asr mein tum ko nind aati hai
isha mein tum ghaeb rahte ho
jis din iftari kuchh kam ho
us din tum bigDe rahte ho
raghbat hai bas iftari se
sahari mein kam hi uThte ho
husn-e-KHulq ibaadat hai nan
is pe dhyan nahin dete ho
bhuke pyase kyun rahte ho
roze aaKHir kyun rakhte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.