mera watan hindostan
ai mere pyāre vatan hindostān
hai bahut dilchasp terī dāstān
har fazā terī lubhātī hai hameñ
har adā terī to bhātī hai hameñ
tere har gulshan meñ panchhī naġhma-ḳhvāñ
āshiyāñ-dar-āshiyāñ ratb-ul-lisāñ
muḳhtalif tahzīb ke insāñ yahāñ
bolte haiñ apnī apnī boliyāñ
sone chāñdī se aTī hai ye zamīñ
aisī dhartī saarī duniyā meñ nahīñ
kis qadar hai dil-nashīñ terī fazā
arz-e-bat.hā tak ga.ī terī fazā
'mīr' o 'ġhālib' 'hasrat' o 'chakbast' ne
bhar diye daftar tirī tārīf se
ḳhūbsūrat ai mire hindostāñ
tujh pe karte haiñ fidā ham apnī jaañ
hai ḳhudā-e-pāk terā pāsbāñ
zinda o pā.inda-bād hindostān
ai mere pyare watan hindostan
hai bahut dilchasp teri dastan
har faza teri lubhati hai hamein
har ada teri to bhati hai hamein
tere har gulshan mein panchhi naghma-KHwan
aashiyan-dar-ashiyan ratb-ul-lisan
muKHtalif tahzib ke insan yahan
bolte hain apni apni boliyan
sone chandi se aTi hai ye zamin
aisi dharti sari duniya mein nahin
kis qadar hai dil-nashin teri faza
arz-e-batha tak gai teri faza
'mir' o 'ghaalib' 'hasrat' o 'chakbast' ne
bhar diye daftar teri tarif se
KHubsurat ai mere hindostan
tujh pe karte hain fida hum apni jaan
hai KHuda-e-pak tera pasban
zinda o painda-baad hindostan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.