mera watan
rang-o-nasl-o-mazāhib kā a.alā chaman
hind merā vatan hind merā vatan
rakkhe is kā salāmat ḳhudā bāñkpan
hind merā vatan hind merā vatan
is kī nadiyāñ aqīdat kī me.arāj haiñ
sarzamīñ hai dul.han koh sartāj haiñ
gulshanoñ par nirālī shagufta phaban
mausamoñ kā yahāñ apnā me.aar hai
aur har-sū parindoñ kī chahkār hai
jhūme sāvan sajā kar hasīñ anjuman
lahlahāte hue khet raunaq tirī
ḳhuub bāġhāt-o-sahrāoñ kī dilkashī
husn bād-e-sabā meñ hai bū-e-saman
haiñ lab-e-ābshāroñ pe naġhme tire
husn-o-shoḳhī baḌhāne ko ġhunche khule
kyoñ na bhañvre hoñ ḳhush titliyāñ hoñ magan
shāhrāheñ baḌhātī haiñ azmat tirī
aur pagDañDiyāñ shān-o-shaukat tirī
terā mash.hūr duniyā meñ hai ilm-o-fan
tere siina se chashme ubalte hue
god meñ shoḳh dariyā machalte hue
tujh se rakhte haiñ ulfat mohabbat lagan
iid holī to jashn-e-vilādat kahīñ
hai christmas kī rangīñ latāfat kahīñ
terī tahzīb ik ḳhushnumā pairahan
jism ke reza-reza kī āvāz hai
'paikar' apne vatan par mujhe naaz hai
is pe qurbān jaa.e mirī jān-o-tan
rang-o-nasl-o-mazahib ka aala chaman
hind mera watan hind mera watan
rakkhe is ka salamat KHuda bankpan
hind mera watan hind mera watan
is ki nadiyan aqidat ki mearaj hain
sarzamin hai dulhan koh sartaj hain
gulshanon par nirali shagufta phaban
mausamon ka yahan apna mear hai
aur har-su parindon ki chahkar hai
jhume sawan saja kar hasin anjuman
lahlahate hue khet raunaq teri
KHub baghat-o-sahraon ki dilkashi
husn baad-e-saba mein hai bu-e-saman
hain lab-e-abshaaron pe naghme tere
husn-o-shoKHi baDhane ko ghunche khule
kyon na bhanwre hon KHush titliyan hon magan
shahrahen baDhati hain azmat teri
aur pagDanDiyan shan-o-shaukat teri
tera mashhur duniya mein hai ilm-o-fan
tere sina se chashme ubalte hue
god mein shoKH dariya machalte hue
tujh se rakhte hain ulfat mohabbat lagan
id holi to jashn-e-wiladat kahin
hai christmas ki rangin latafat kahin
teri tahzib ek KHushnuma pairahan
jism ke reza-reza ki aawaz hai
'paikar' apne watan par mujhe naz hai
is pe qurban jae meri jaan-o-tan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.