mera watan
ye merā vatan
merā chaman
merī zamīñ hai
vahdat ke kahīñ giit to murlī kī kahīñ taan
ban-bās baḌhātā hai yahāñ aur bhī kuchh
shaan
ik haath meñ giitā hai to ik haath meñ qur.ān
hai kirshn kī murlī
kahīñ nānak kā yaqīñ hai
ye merā vatan
merā chaman
merī zamīñ hai
bāzāroñ se pur shahr to khetoñ se saje gaañv
zulfoñ kī mahak hai kahīñ pīpal kī ghanī chhāñv
har moḌ pe rukne ko haiñ be-tāb mire paañv
dil merā kahīñ jism kahīñ
ruuh kahīñ hai
ye merā vatan
merā chaman
merī zamīñ hai
har sub.h hai rangīn to har shaam suhānī
lamhāt ke hoñToñ pe hai maazī kī kahānī
mā'sūm laḌakpan hai to mad.hosh javānī
mahtāb sā chehra hai
sitāroñ kī jabīñ hai
ye merā vatan
merā chaman
merī zamīñ hai
ye mera watan
mera chaman
meri zamin hai
wahdat ke kahin git to murli ki kahin tan
ban-bas baDhata hai yahan aur bhi kuchh
shan
ek hath mein gita hai to ek hath mein quran
hai kirshn ki murli
kahin nanak ka yaqin hai
ye mera watan
mera chaman
meri zamin hai
bazaron se pur shahr to kheton se saje ganw
zulfon ki mahak hai kahin pipal ki ghani chhanw
har moD pe rukne ko hain be-tab mere panw
dil mera kahin jism kahin
ruh kahin hai
ye mera watan
mera chaman
meri zamin hai
har subh hai rangin to har sham suhani
lamhat ke honTon pe hai mazi ki kahani
ma'sum laDakpan hai to madhosh jawani
mahtab sa chehra hai
sitaron ki jabin hai
ye mera watan
mera chaman
meri zamin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.