mere dil mein jangal hai
mere dil meñ jañgal hai
aur us meñ bheḌiyā rahtā hai
jo raat ko merī āñkhoñ meñ aa jaatā hai
aur saare manzar khā jaatā hai
sub.h ko sūraj apne pyāle se shabnam Tapkātā hai
aur din kā bachcha
merī ruuh ke jhūle meñ rakh jaatā hai
mere dil meñ jañgal hai
aur us meñ fāḳhta rahtī hai
jo apne paroñ se mere liye
ik parcham buntī rahtī hai
aur ḳhushbū se ik naġhma likhtī rahtī hai
phir thak kar mere bāloñ meñ so jaatī hai
mere dil meñ jañgal hai
aur us meñ jogī rahtā hai
jo mere ḳhuun se apnī sharāb banātā hai
aur apne sitār meñ chhupī huī laḌkī ko
paas bulātā hai
phir jañgal bosa ban jaatā hai
mere dil meñ jañgal hai
aur is meñ bhūlā-bhaTkā zaḳhmī shahzāda hai
jis kā lashkar
ḳhuun kī dhaar pe us ke pīchhe aatā hai
vo apne vatan ke naqshe ko zaḳhmoñ pe bāñdh ke
āḳhirī ḳhutba detā hai
phir mar jaatā hai
mere dil meñ jañgal hai
aur us meñ gahrī ḳhāmoshī hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein bheDiya rahta hai
jo raat ko meri aankhon mein aa jata hai
aur sare manzar kha jata hai
subh ko suraj apne pyale se shabnam Tapkata hai
aur din ka bachcha
meri ruh ke jhule mein rakh jata hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein faKHta rahti hai
jo apne paron se mere liye
ek parcham bunti rahti hai
aur KHushbu se ek naghma likhti rahti hai
phir thak kar mere baalon mein so jati hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein jogi rahta hai
jo mere KHun se apni sharab banata hai
aur apne sitar mein chhupi hui laDki ko
pas bulata hai
phir jangal bosa ban jata hai
mere dil mein jangal hai
aur is mein bhula-bhaTka zaKHmi shahzada hai
jis ka lashkar
KHun ki dhaar pe us ke pichhe aata hai
wo apne watan ke naqshe ko zaKHmon pe bandh ke
aaKHiri KHutba deta hai
phir mar jata hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein gahri KHamoshi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.