mere hath sawali hain
mere haath savālī haiñ
aur maiñ ulTā kuñ.eñ kī tah meñ
paanī ke kañdhe jhaTak jhaTak kar
kirnoñ ke yaḳh-basta kabūtar DhūñDh rahā huuñ
chup ke raste lambe ho kar tanhā kivāḌoñ tak pahuñche haiñ
kis kī dastak kaun aayā hai
kaun hai ye jo bārish ke anjāne
tarannum kī chhatrī ke nīche khaḌā hai
ye sunsān havelī aur lakḌī ke phāTak
kis kā rasta takte takte būḌhī umr ko panche haiñ
kal jab chāñd havā ke Tāñgoñ meñ se
sikka ban kar girtā thā
kaaTī fasl ke DanThal duudh kī poroñ meñ ghulte the
aur maiñ apnā ham-chehra thā
donoñ haath mohabbat vaale dil kī sabz muñDeroñ par the
phir na jaane aadhī raat ko kis ke paañv
jaan ke zaḳhmoñ meñ se phūTe
aur sadā kī kaalī āñdhī
duur ufaq se gard kā baTvā le kar uThī
mere hath sawali hain
aur main ulTa kunen ki tah mein
pani ke kandhe jhaTak jhaTak kar
kirnon ke yaKH-basta kabutar DhunDh raha hun
chup ke raste lambe ho kar tanha kiwaDon tak pahunche hain
kis ki dastak kaun aaya hai
kaun hai ye jo barish ke anjaane
tarannum ki chhatri ke niche khaDa hai
ye sunsan haweli aur lakDi ke phaTak
kis ka rasta takte takte buDhi umr ko panche hain
kal jab chand hawa ke Tangon mein se
sikka ban kar girta tha
kaTi fasl ke DanThal dudh ki poron mein ghulte the
aur main apna ham-chehra tha
donon hath mohabbat wale dil ki sabz munDeron par the
phir na jaane aadhi raat ko kis ke panw
jaan ke zaKHmon mein se phuTe
aur sada ki kali aandhi
dur ufaq se gard ka baTwa le kar uThi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.