mere lab sile hain
hasb-e-ma.amūl
is baar bhī tum
mere chehre kā
apne hāthoñ se
kaTorā sā banāoge
mere lab chūmoge
aur bhar doge mere āñchal ko
ahd-o-paimāñ ke jugnūoñ se
aur maiñ
hamesha kī tarah
apne dil ke nihāñ-ḳhānoñ ko
in jugnūoñ se sajā.ūñgī
sañvārūñgī
aur ḳhush ho jā.ūñgī
tum phir chal doge
unhīñ atrāf meñ
jahāñ jugnū nahīñ chamakte
aur mere lab sile haiñ
maiñ jāntī huuñ
mere hoñT agar khul ga.e
tumhāre lab sil jā.eñge
lekin maiñ nahīñ chāhtī
ki dil ke nihāñ-ḳhānoñ ko
sajāne ke liye mayassar na ho
ek bhī jugnū
isī liye
aao
mujhe phir bāñhoñ meñ bhar lo
mujh se phir va.ada karo
mere lab sile haiñ
aur sile hī raheñge
hasb-e-mamul
is bar bhi tum
mere chehre ka
apne hathon se
kaTora sa banaoge
mere lab chumoge
aur bhar doge mere aanchal ko
ahd-o-paiman ke jugnuon se
aur main
hamesha ki tarah
apne dil ke nihan-KHanon ko
in jugnuon se sajaungi
sanwarungi
aur KHush ho jaungi
tum phir chal doge
unhin atraf mein
jahan jugnu nahin chamakte
aur mere lab sile hain
main jaanti hun
mere honT agar khul gae
tumhaare lab sil jaenge
lekin main nahin chahti
ki dil ke nihan-KHanon ko
sajaane ke liye mayassar na ho
ek bhi jugnu
isi liye
aao
mujhe phir banhon mein bhar lo
mujh se phir wada karo
mere lab sile hain
aur sile hi rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.