mere mahbub
phir ubhar aa.ī hai māhaul ke māthe pe shikan
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
chal jahāñ pyaar ko nafrat se na dekhā jaa.e
chal jahāñ pyaar ko ik khel na samjhā jaa.e
chal jahāñ pyaar ko daulat se na tolā jaa.e
chal kisī aisī Dagar aise nagar aise vatan
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
un nigāhoñ se kahīñ duur nazāroñ se pare
ahl-e-duniyā ke pur-asrār ishāroñ se pare
aisī nagrī meñ chaleñ chāñd sitāroñ se pare
jis kī dhartī ho vafā aur mohabbat ho gagan
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
ġham meñ Duubī huī har raat kī zad meñ aa kar
uljhe uljhe se ḳhayālāt kī zad meñ aa kar
aur phir shorish-e-jazbāt kī zad meñ aa kar
ḳhatm ho jā.egī ik din tire chehre kī phaban
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
har taraf dekh le chehroñ kī ḳharīdārī hai
pyaar kī aaḌ meñ har samt siyah-kārī hai
husn āvāra hai aur 'ishq bhī bāzārī hai
bik rahe haiñ yahāñ saj-dhaj ke hasīnoñ ke badan
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
ye bahāreñ ye nazāre haiñ sarāsar dhokā
aañkh phir aañkh hai khā jaatī hai aksar dhokā
aur kyā degā tujhe terā muqaddar dhokā
chāñdnī oḌh ke aa.ī hai ujāloñ kā kafan
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
Das na le kal tujhe ye shaam suhānī terī
bun na jaa.e koī ġhamgīn kahānī terī
Dhal na jaa.e kahīñ ashkoñ meñ javānī terī
ban na jaa.eñ tirī āñkheñ kisī beva ke nayan
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
mausam-e-gul kabhī barsāt se jī Dartā hai
aur kabhī shiddat-e-jazbāt se jī Dartā hai
yā'nī ab terī mulāqāt se jī Dartā hai
ab to har tāroñ-bharī raat se hotī hai ghuTan
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
apnī āñkhoñ meñ hasīñ ḳhvāb sajāne vaale
pyaar ke diip havāoñ meñ jalāne vaale
tujh ko jiine nahīñ deñge ye zamāne vaale
ye banā deñge tire reshmī āñchal ko kafan
mere mahbūb
chal ab duur kahīñ duur chaleñ
phir ubhar aai hai mahaul ke mathe pe shikan
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
chal jahan pyar ko nafrat se na dekha jae
chal jahan pyar ko ek khel na samjha jae
chal jahan pyar ko daulat se na tola jae
chal kisi aisi Dagar aise nagar aise watan
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
un nigahon se kahin dur nazaron se pare
ahl-e-duniya ke pur-asrar ishaaron se pare
aisi nagri mein chalen chand sitaron se pare
jis ki dharti ho wafa aur mohabbat ho gagan
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
gham mein Dubi hui har raat ki zad mein aa kar
uljhe uljhe se KHayalat ki zad mein aa kar
aur phir shorish-e-jazbaat ki zad mein aa kar
KHatm ho jaegi ek din tere chehre ki phaban
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
har taraf dekh le chehron ki KHaridari hai
pyar ki aaD mein har samt siyah-kari hai
husn aawara hai aur 'ishq bhi bazari hai
bik rahe hain yahan saj-dhaj ke hasinon ke badan
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
ye bahaaren ye nazare hain sarasar dhoka
aankh phir aankh hai kha jati hai aksar dhoka
aur kya dega tujhe tera muqaddar dhoka
chandni oDh ke aai hai ujalon ka kafan
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
Das na le kal tujhe ye sham suhani teri
bun na jae koi ghamgin kahani teri
Dhal na jae kahin ashkon mein jawani teri
ban na jaen teri aankhen kisi bewa ke nayan
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
mausam-e-gul kabhi barsat se ji Darta hai
aur kabhi shiddat-e-jazbaat se ji Darta hai
ya'ni ab teri mulaqat se ji Darta hai
ab to har taron-bhari raat se hoti hai ghuTan
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
apni aankhon mein hasin KHwab sajaane wale
pyar ke dip hawaon mein jalane wale
tujh ko jine nahin denge ye zamane wale
ye bana denge tere reshmi aanchal ko kafan
mere mahbub
chal ab dur kahin dur chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.