mere sathi tere aur mere darmiyan
mere sāthī tire aur mire darmiyān
kis qadar fāsloñ kī fasīleñ khaḌī haiñ yahāñ
merā vīrāna ho yā tirā gulsitāñ
har qadam par hazāroñ salībeñ gaḌī haiñ yahāñ
ārzuoñ ke saa.e haiñ phir bhī ravāñ
hāsil-e-zindagī hāsil-e-bandagī
āñsuoñ kī jalan hasratoñ kā dhuāñ
har ubhartī huī raat kī tīrgī
terī afshāñ se taare churātī rahī
mere āñgan ko aa kar sajātī rahī
sham-e-hastī magar Dagmagātī rahī
dil pukārā kiyā raushnī raushnī
kohr-ālūd rāhoñ pe chalte hue
har qadam par tujhe maiñ ne āvāz dī bārhā
merī āvāz ne ḳhud pukārā mujhe
kho ga.ī in ḳhalāoñ kī yaḳh-bastagī meñ sadā
hijr ke marhale dard ke silsile
karb kī āñdhiyāñ dil kā bujhtā huā ik diyā
tere hoñToñ kī kaliyāñ mahaktī rahīñ
aañkh rotī rahī hoñT hañste rahe
jaane kis manzil-e-zīst par aa ga.e
terī yādoñ ke mahtāb gahnā ga.e
mere sathi tere aur mere darmiyan
kis qadar faslon ki fasilen khaDi hain yahan
mera virana ho ya tera gulsitan
har qadam par hazaron saliben gaDi hain yahan
aarzuon ke sae hain phir bhi rawan
hasil-e-zindagi hasil-e-bandagi
aansuon ki jalan hasraton ka dhuan
har ubharti hui raat ki tirgi
teri afshan se tare churaati rahi
mere aangan ko aa kar sajati rahi
sham-e-hasti magar Dagmagati rahi
dil pukara kiya raushni raushni
kohr-alud rahon pe chalte hue
har qadam par tujhe main ne aawaz di barha
meri aawaz ne KHud pukara mujhe
kho gai in KHalaon ki yaKH-bastagi mein sada
hijr ke marhale dard ke silsile
karb ki aandhiyan dil ka bujhta hua ek diya
tere honTon ki kaliyan mahakti rahin
aankh roti rahi honT hanste rahe
jaane kis manzil-e-zist par aa gae
teri yaadon ke mahtab gahna gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.