mere wajud se wabasta sarzamin
ye zamīñ ye hasīñ sarzamīñ
jangaloñ parbatoñ sabza-zāroñ nashīlī havāoñ kī āmājgāh
is se rishta mirā
jism-o-jāñ kī tarah
ḳhvāhishoñ ārzūoñ umangoñ ke sail-e-ravāñ kī tarah
is kī miTTī kī soñdhī mahak
is kī barsāt kā har nam-e-jāvedāñ
is kī yaḳh-basta rātoñ kī shādābiyāñ
is kī jaltī huī dopahar kī lapak
gosht aur post meñ mere paivast hai
fāḳhta ke paroñ kī tarah
ye zamīñ
merī fikroñ kī dahlīz bhī
soch kā ḳhūbsūrat sā ā.īna bhī
mere ehsās-o-jazba kā ghar
mere lafz-o-navā ke liye mustaqil sā.ebāñ
jis ke saa.e tale
aaj merā vajūd
irtiqā kī na.ī manziloñ ke ta.ayyun meñ masrūf hai
ye zamin ye hasin sarzamin
jangalon parbaton sabza-zaron nashili hawaon ki aamajgah
is se rishta mera
jism-o-jaan ki tarah
KHwahishon aarzuon umangon ke sail-e-rawan ki tarah
is ki miTTi ki sondhi mahak
is ki barsat ka har nam-e-jawedan
is ki yaKH-basta raaton ki shadabiyan
is ki jalti hui dopahar ki lapak
gosht aur post mein mere paiwast hai
faKHta ke paron ki tarah
ye zamin
meri fikron ki dahliz bhi
soch ka KHubsurat sa aaina bhi
mere ehsas-o-jazba ka ghar
mere lafz-o-nawa ke liye mustaqil saeban
jis ke sae tale
aaj mera wajud
irtiqa ki nai manzilon ke tayyun mein masruf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.