meri mohabbat chahti hai
merī mohabbat chāhtī hai mīnāre ghar ke shivāloñ ke
kuchh bāteñ makke vāloñ kī kuchh qisse banaras vāloñ ke
merī tamannā sūraj ban ke chamaktī hai gulzāroñ par
merī mohabbat saaya ban ke Thahartī hai dil-dāroñ par
raushnī merī bulandī ban ke chamkī chāñd sitāroñ meñ
maiñ ne gulāb kī āñkheñ dekhīñ apne ghar kī bahāroñ meñ
mere liye tyauhār kī rāteñ ab bhī diye jalātī haiñ
mere liye har des kī yādeñ ab bhī nāchne aatī haiñ
meri mohabbat chahti hai minare ghar ke shiwalon ke
kuchh baaten makke walon ki kuchh qisse banaras walon ke
meri tamanna suraj ban ke chamakti hai gulzaron par
meri mohabbat saya ban ke Thaharti hai dil-daron par
raushni meri bulandi ban ke chamki chand sitaron mein
main ne gulab ki aankhen dekhin apne ghar ki bahaaron mein
mere liye tyauhaar ki raaten ab bhi diye jalati hain
mere liye har des ki yaaden ab bhi nachne aati hain
- Book : chhaar khvaab (Pg. 21)
- Author : qamar jameel
- Publication : mkataba aasii (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.