meri rahon ke ab tum musafir nahin
tum jo anjān rāhoñ meñ
be-nām logoñ se
din ke ujāle meñ
rātoñ ke mailoñ meñ
taptī do-pahrī kī
chhāñv ke Deroñ meñ
sāvan kī jhīloñ ke
bahte jazīroñ meñ
tadbīreñ milne kī
karte ho yuuñ
karte ho kyoñ
tum se milnā kisī kī zarūrat nahīñ
tum kisī ke masīhā kabhī bhī nahīñ
tum ki maġhrūr apnī haqīqat pe ho
tum ko mahbūb-o-māshūq maiñ ne kiyā
ret-e-hastī kā Tiila tabhī to sajā
jab ye Tiila sajā
maiñ bikhar sā gayā
tum ne mujh se kahā
tum kahīñ ke ḳhudā
tum kahāñ ke ḳhudā
chiil kavvoñ se bad-tar vo gidh Thahre tum
merī sāñsoñ ke thamne ke mushtāq ho
mere qadmoñ kī aahaT pe hairān ho
merī aahaT suno aaj zinda huuñ maiñ
tum jo nūrānī chehroñ pe marte ho yuuñ
un ke mīThe suroñ meñ ulajhte ho yuuñ
jaao ab se tumhāre vahī rahnumā
jaao maiñ ne tumheñ kar diyā hai vidā.a
phir jo socho kabhī zindagī na milī
un kī āvāz meñ rahbarī na milī
jhiil āñkhoñ meñ apnī chhavī na milī
merī chāhat mirī ājizī na milī
aur chāho kabhī is taraf lauTnā
merī TuuTī zabāñ kī yahī ho sadā
tum larazte raho
aaheñ bharte raho
aaheñ bhar bhar ke
bhar bhar ke marte raho
merī rāhoñ ke ab tum musāfir nahīñ
tum jo anjaan rahon mein
be-nam logon se
din ke ujale mein
raaton ke mailon mein
tapti do-pahri ki
chhanw ke Deron mein
sawan ki jhilon ke
bahte jaziron mein
tadbiren milne ki
karte ho yun
karte ho kyon
tum se milna kisi ki zarurat nahin
tum kisi ke masiha kabhi bhi nahin
tum ki maghrur apni haqiqat pe ho
tum ko mahbub-o-mashuq main ne kiya
ret-e-hasti ka Tila tabhi to saja
jab ye Tila saja
main bikhar sa gaya
tum ne mujh se kaha
tum kahin ke KHuda
tum kahan ke KHuda
chil kawwon se bad-tar wo gidh Thahre tum
meri sanson ke thamne ke mushtaq ho
mere qadmon ki aahaT pe hairan ho
meri aahaT suno aaj zinda hun main
tum jo nurani chehron pe marte ho yun
un ke miThe suron mein ulajhte ho yun
jao ab se tumhaare wahi rahnuma
jao main ne tumhein kar diya hai widaa
phir jo socho kabhi zindagi na mili
un ki aawaz mein rahbari na mili
jhil aankhon mein apni chhawi na mili
meri chahat meri aajizi na mili
aur chaho kabhi is taraf lauTna
meri TuTi zaban ki yahi ho sada
tum larazte raho
aahen bharte raho
aahen bhar bhar ke
bhar bhar ke marte raho
meri rahon ke ab tum musafir nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.