ik nadī ke taT pe maiñ
jaane kab se baiThā huuñ
jā chukā hai din lekin
raat abhī nahīñ aa.ī
raushnī hai bujhne ko
par añdherā ġhā.eb hai
ya.anī saaf bolūñ to
sāñjh kā dhuñdhalkā hai
aur is dhuñdhlake meñ
maiñ ḳhamosh baiThā huuñ
maiñ udaas baiThā huuñ
jāntā hai kyā koī
maiñ yahāñ kab aaya thā
kab yahāñ se jā.ūñgā
aur jo udāsī hai
saath le ke aaya thā
saath le bhī jā.ūñgā
maiñ ne ek patthar jo
paanī par chalāyā thā
Dūbne se pahle vo
kitnī baar kuudā thā
maiñ mirī udāsī pe
roz Tappe khātā huuñ
Duub hī na paatā huuñ
jāntā hai kyā koī
naam aur pata merā
yā ki rāsta merā
aur jo ḳhamoshī hai
kab se merī sāthī hai
kab talak rahegī ye
ret maiñ ne muTThī meñ
le ke jo uḌā dī thī
vo havā ke kañdhe par
kitnī der baiThī thī
maiñ mirī ḳhamoshī ko
roz hī uḌātā huuñ
phir se ḳhud pe paatā huuñ
ik nadī ke taT pe maiñ
jaane kab se baiThā huuñ
sāñjh kā dhuñdhalkā bhī
saath chhoḌe jaatā hai
har taraf siyāhī hai
har taraf sannāTā hai
ya.anī saaf bolūñ to
raat ye añdherī hai
aur maiñ añdhere meñ
kyoñ ḳhamosh baiThā huuñ
kyoñ udaas baiThā huuñ
ek nadi ke taT pe main
jaane kab se baiTha hun
ja chuka hai din lekin
raat abhi nahin aai
raushni hai bujhne ko
par andhera ghaeb hai
yani saf bolun to
sanjh ka dhundhalka hai
aur is dhundhlake mein
main KHamosh baiTha hun
main udas baiTha hun
jaanta hai kya koi
main yahan kab aaya tha
kab yahan se jaunga
aur jo udasi hai
sath le ke aaya tha
sath le bhi jaunga
main ne ek patthar jo
pani par chalaya tha
Dubne se pahle wo
kitni bar kuda tha
main meri udasi pe
roz Tappe khata hun
Dub hi na pata hun
jaanta hai kya koi
nam aur pata mera
ya ki rasta mera
aur jo KHamoshi hai
kab se meri sathi hai
kab talak rahegi ye
ret main ne muTThi mein
le ke jo uDa di thi
wo hawa ke kandhe par
kitni der baiThi thi
main meri KHamoshi ko
roz hi uData hun
phir se KHud pe pata hun
ek nadi ke taT pe main
jaane kab se baiTha hun
sanjh ka dhundhalka bhi
sath chhoDe jata hai
har taraf siyahi hai
har taraf sannaTa hai
yani saf bolun to
raat ye andheri hai
aur main andhere mein
kyon KHamosh baiTha hun
kyon udas baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.