migraine
dil itnī shiddat se dhaḌkā
ki aañkh ko dard kā qatra
siyāh dikhānā paḌā
zindagī kī zang-ālūd
zanjīroñ meñ jakḌā vajūd
āḳhirī shab kā
zā.iqa chakhte hue
kisī tāntrik kā muntazir hai
ishq kyā hai
savāl ne kaifiyat kā nichoḌ māñgā
tamām-tar be-sar-o-sāmānī ikaTThī kar ke
namkīn paanī
rā.igānī kī kahānī likh rahā thā
vajūd ko vajūd meñ fanā karne kā gur aa jaa.e
to falsafa-e-ishq vajūd meñ aatā hai
paikar-e-jamāl shāhzādī kī āñkheñ
zard rang kā havāla banīñ
to dard ke ik na.e naam kī taḳhlīq huī
migraine kā ilaaj abhī daryāft nahīñ ho sakā
dil itni shiddat se dhaDka
ki aankh ko dard ka qatra
siyah dikhana paDa
zindagi ki zang-alud
zanjiron mein jakDa wajud
aaKHiri shab ka
zaiqa chakhte hue
kisi tantrik ka muntazir hai
ishq kya hai
sawal ne kaifiyat ka nichoD manga
tamam-tar be-sar-o-samani ikaTThi kar ke
namkin pani
raigani ki kahani likh raha tha
wajud ko wajud mein fana karne ka gur aa jae
to falsafa-e-ishq wajud mein aata hai
paikar-e-jamal shahzadi ki aankhen
zard rang ka hawala banin
to dard ke ek nae nam ki taKHliq hui
migraine ka ilaj abhi daryaft nahin ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.