miras
umr bhar ūñghtī rāhoñ pe rahe garm-e-safar
raqs karte rahe jazbāt meñ sozish ke sharar
aaj bhī zindagī aur maut ke dorāhe par
dost aa baiTh ke sustā leñ ghaḌī bhar ke liye
shaam ke reñgte sāyoñ kī ghanī chhāñv meñ
ye to apne haiñ kisī ġhair kī mīrās nahīñ
umr bhar unghti rahon pe rahe garm-e-safar
raqs karte rahe jazbaat mein sozish ke sharar
aaj bhi zindagi aur maut ke dorahe par
dost aa baiTh ke susta len ghaDi bhar ke liye
sham ke rengte sayon ki ghani chhanw mein
ye to apne hain kisi ghair ki miras nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.