mere ham-nafas
mire ham-nafas koī zikr ho
mire dard-o-ġham mire haal kā
mirī aañkh to hai lahū lahū
mirā hausla hai kamāl kā
ye judā.iyoñ ke 'azāb bhī
mirī har ḳhushī ko nigal ga.e
vo jo dil se mere qarīb the
vahī raah apnī badal ga.e
vo jo mahfileñ thiiñ ujaḌ ga.iiñ
vo jo qahqahe the bikhar ga.e
vo jo zaḳhm-e-dil thā nihāñ huā
vo jo giit the kahāñ gum hue
ye nidā-e-'ishq kā shor bhī
yuuñ ragoñ meñ merī utar gayā
tirī diid kā thā maiñ muntazir
tahī-dast thā be-samar rahā
tire shahr-e-ḳhāna-ḳharāb meñ
hameñ phir mileñ na vo fursateñ
vo sharārateñ vo latāfateñ
vo maze maze kī hikāyateñ
ik māhī-e-be-āb huuñ
vo jo Dhal chukā hai shabāb huuñ
use vaqt ne hai bahā diyā
mujhe ġham meñ jiinā sikhā diyā
vo jo soz terī navā meñ thā
mire jism-o-jāñ meñ basā huā
mire ham-suḳhan tū qarīb aa
ye jo fāsle haiñ unheñ miTā
na.e giit likh na.ī baat kar
huī shā'irī jo tujhe 'atā
ye jo nafratoñ ko zavāl hai
ye to shā'irī kā kamāl hai
mire ham-nafas koī zikr ho
mire dard-o-ġham mire haal kā
mirī aañkh to hai lahū lahū
mirā hausla hai kamāl kā
mere ham-nafas koi zikr ho
mere dard-o-gham mere haal ka
meri aankh to hai lahu lahu
mera hausla hai kamal ka
ye judaiyon ke 'azab bhi
meri har KHushi ko nigal gae
wo jo dil se mere qarib the
wahi rah apni badal gae
wo jo mahfilen thin ujaD gain
wo jo qahqahe the bikhar gae
wo jo zaKHm-e-dil tha nihan hua
wo jo git the kahan gum hue
ye nida-e-'ishq ka shor bhi
yun ragon mein meri utar gaya
teri did ka tha main muntazir
tahi-dast tha be-samar raha
tere shahr-e-KHana-KHarab mein
hamein phir milen na wo fursaten
wo shararaten wo latafaten
wo maze maze ki hikayaten
ek mahi-e-be-ab hun
wo jo Dhal chuka hai shabab hun
use waqt ne hai baha diya
mujhe gham mein jina sikha diya
wo jo soz teri nawa mein tha
mere jism-o-jaan mein basa hua
mere ham-suKHan tu qarib aa
ye jo fasle hain unhen miTa
nae git likh nai baat kar
hui sha'iri jo tujhe 'ata
ye jo nafraton ko zawal hai
ye to sha'iri ka kamal hai
mere ham-nafas koi zikr ho
mere dard-o-gham mere haal ka
meri aankh to hai lahu lahu
mera hausla hai kamal ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.