mere nadim
ab TuuT bhī chuke mirā sāġhar tirā rabāb
ab qahqahe lagā.egī zulmat mire nadīm
qalb-e-tapāñ se aa.ī hai kitnī udaas aañch
sho.aloñ pe so ga.ī hai mohabbat mire nadīm
kitnā badal gayā huuñ magar kis tarah kahūñ
aatī hai ab bhī roz qayāmat mire nadīm
phir bujh ga.e charāġh mire āñsūoñ ke aaj
āñkhoñ meñ kho ga.ī hai sadāqat mire nadīm
in qahqahoñ meñ gum hai mirī zindagī kā raaz
jaise bhulā chukā huuñ mohabbat mire nadīm
bas ik fareb-kārī-e-ulfat sahī magar
kuchh duur bhī nahīñ hai haqīqat mire nadīm
ab TuT bhi chuke mera saghar tera rabab
ab qahqahe lagaegi zulmat mere nadim
qalb-e-tapan se aai hai kitni udas aanch
shoalon pe so gai hai mohabbat mere nadim
kitna badal gaya hun magar kis tarah kahun
aati hai ab bhi roz qayamat mere nadim
phir bujh gae charagh mere aansuon ke aaj
aankhon mein kho gai hai sadaqat mere nadim
in qahqahon mein gum hai meri zindagi ka raaz
jaise bhula chuka hun mohabbat mere nadim
bas ek fareb-kari-e-ulfat sahi magar
kuchh dur bhi nahin hai haqiqat mere nadim
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.