mirriKH ki sair
is saal chhuTTiyoñ kā banā ye programme
jā.eñge dost sair ko mirrīḳh kī tamām
duniyā se duur apnī ḳhalāoñ meñ jā.eñge
ham dūsre jahāñ kī ḳhabar le ke ā.eñge
ūñchī bahut uḌaan hai lambā baḌā safar
nikle ḳhalā kī sair ko rocket meñ baiTh kar
phir ham ne jā ke Daal dī mirrīḳh par kamand
iqbāl ke iqbāl ko ham ne kiyā buland
lambe safar ke baad jo pahuñche mirrīḳh par
dekhe qadam qadam pe ajūbe mirrīḳh par
ahl-e-mirrīḳh ne kahā hameñ ḳhush-āmdīd
samjho yuuñ ham ko apnī vafā se liyā ḳharīd
maḳhlūq ik ajiib hī dekhī mirrīḳh par
the bandaroñ se jism to chītoñ se un ke sar
aate nazar nahīñ the ba-zāhir to un ke par
sab uḌte phir rahe the ḳhalā meñ idhar udhar
ruk ruk ke uḌ rahī thiiñ ḳhalāoñ meñ titliyāñ
bin aab tairtī thiiñ fazāoñ meñ machhliyāñ
rañgīn ḳhushnumā the sitāre mirrīḳh par
nazroñ ko lūTte the nazāre mirrīḳh par
sarsabz rañg chāñd thā sarsabz raat thī
māhaul pur-sukūñ thā ġhamoñ se najāt thī
thiiñ gahrī khā.iyāñ kahīñ ūñche pahāḌ the
chāñdī ke sabza-zār the sone ke jhaaḌ the
thiiñ raunaqeñ karachi kī mausam marī kā thā
dil meñ ḳhayāl bhī na koī be-gharī kā thā
mahsūs kam hī hotī vahāñ par thī bhuuk pyaas
khāne ko phal lazīz the charne ko mīThī ghaas
laTkī huī shajar pe thiiñ paanī kī botaleñ
hairān-kun ḳhalā meñ muallaq thiiñ hoteleñ
mauqa jo haath aayā thā ham ne na der kī
ghūme phire mirrīḳh pe jī bhar ke sair kī
do maah kī chhuTTīyāñ ga.iiñ do din meñ hī guzar
buddhū tamām lauT ke phir aa.e apne ghar
mirrīḳh kā safar to baḌā lā-javāb thā
lagtā hai jaise dekhā koī ham ne ḳhvāb thā
is sal chhuTTiyon ka bana ye programme
jaenge dost sair ko mirriKH ki tamam
duniya se dur apni KHalaon mein jaenge
hum dusre jahan ki KHabar le ke aaenge
unchi bahut uDan hai lamba baDa safar
nikle KHala ki sair ko rocket mein baiTh kar
phir hum ne ja ke Dal di mirriKH par kamand
iqbaal ke iqbaal ko hum ne kiya buland
lambe safar ke baad jo pahunche mirriKH par
dekhe qadam qadam pe ajube mirriKH par
ahl-e-mirriKH ne kaha hamein KHush-amdid
samjho yun hum ko apni wafa se liya KHarid
maKHluq ek ajib hi dekhi mirriKH par
the bandaron se jism to chiton se un ke sar
aate nazar nahin the ba-zahir to un ke par
sab uDte phir rahe the KHala mein idhar udhar
ruk ruk ke uD rahi thin KHalaon mein titliyan
bin aab tairti thin fazaon mein machhliyan
rangin KHushnuma the sitare mirriKH par
nazron ko luTte the nazare mirriKH par
sarsabz rang chand tha sarsabz raat thi
mahaul pur-sukun tha ghamon se najat thi
thin gahri khaiyan kahin unche pahaD the
chandi ke sabza-zar the sone ke jhaD the
thin raunaqen karachi ki mausam mari ka tha
dil mein KHayal bhi na koi be-ghari ka tha
mahsus kam hi hoti wahan par thi bhuk pyas
khane ko phal laziz the charne ko miThi ghas
laTki hui shajar pe thin pani ki botalen
hairan-kun KHala mein muallaq thin hotelen
mauqa jo hath aaya tha hum ne na der ki
ghume phire mirriKH pe ji bhar ke sair ki
do mah ki chhuTTiyan gain do din mein hi guzar
buddhu tamam lauT ke phir aae apne ghar
mirriKH ka safar to baDa la-jawab tha
lagta hai jaise dekha koi hum ne KHwab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.