ye jo āvāz aatī hai
kabhī mandir kabhī masjid kī jānib se
saham jaatā huuñ jaane kyoñ
ye āvāzeñ kabhī mujh ko
sukūñ detī thiiñ lekin ab
inheñ sun kar upajtā hai
ajab ik Dar tabāhī kā
ki jaise jai bhavānī kah ke jaa.ez hai
kisī kā qatl kar denā
kisī kī jaan le lenā
ki jaise nāra-e-takbīr dhul degā
gunāhoñ ko
so jab āvāz aatī hai
aartī aur azānoñ kī
maiñ Dar se kaañp jaatā huuñ
maiñ ik bachchī kī unglī thaam letā huuñ
ki shāyad vo nayā rasta dikhā.e
aur badal de
maz.haboñ ke ye na.e ma.ānī
ye jo aawaz aati hai
kabhi mandir kabhi masjid ki jaanib se
saham jata hun jaane kyon
ye aawazen kabhi mujh ko
sukun deti thin lekin ab
inhen sun kar upajta hai
ajab ek Dar tabahi ka
ki jaise jai bhawani kah ke jaez hai
kisi ka qatl kar dena
kisi ki jaan le lena
ki jaise nara-e-takbir dhul dega
gunahon ko
so jab aawaz aati hai
aarti aur azanon ki
main Dar se kanp jata hun
main ek bachchi ki ungli tham leta hun
ki shayad wo naya rasta dikhae
aur badal de
mazhabon ke ye nae maani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.