Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mister internet

Faragh Rohvi

mister internet

Faragh Rohvi

MORE BYFaragh Rohvi

    maiñ huuñ mister internet

    kar lo apne ghar meñ set

    computer meñ rahtā huuñ

    sab ko welcome kahtā huuñ

    jo kuchh detā hai college

    mujh meñ bhī hai vo knowledge

    jo bhī chāho le lo kaam

    hāzir huuñ maiñ sub.h-o-shām

    hotā hai jo ghanToñ meñ

    kar detā huuñ mintoñ meñ

    bhārat ho pākistān

    america ho jāpān

    guḌiyā aur banTī ke naam

    jab chāho bhejo paiġhām

    chhapte haiñ jo sarhad paar

    mujh par paḌh lo vo aḳhbār

    de kar Inter exam

    mujh se pūchho tum anjām

    student ho teacher

    mālik ho manager

    sab mere dīvāne haiñ

    mere parvāne haiñ

    mere baare meñ sun kar

    hairat meñ hai jādūgar

    main hun mister internet

    kar lo apne ghar mein set

    computer mein rahta hun

    sab ko welcome kahta hun

    jo kuchh deta hai college

    mujh mein bhi hai wo knowledge

    jo bhi chaho le lo kaam

    hazir hun main subh-o-sham

    hota hai jo ghanTon mein

    kar deta hun minton mein

    bhaarat ho ya pakistan

    america ho ya japan

    guDiya aur banTi ke nam

    jab chaho bhejo paigham

    chhapte hain jo sarhad par

    mujh par paDh lo wo aKHbar

    de kar Inter ka exam

    mujh se puchho tum anjam

    student ho ya teacher

    malik ho ya manager

    sab mere diwane hain

    mere hi parwane hain

    mere bare mein sun kar

    hairat mein hai jadugar

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now