mohabbat humse karni hai
mohabbat ham se karnī hai
to phir vā'da nahīñ karnā
ye vā'de ham ne dekhā hai ki aksar TuuT jaate haiñ
mohabbat ham se karnī hai
to phir zid bhī nahīñ karnī
isī zid se ye dekhā hai ki sāthī chhūT jaate haiñ
mohabbat ham se karnī hai
to phir tohfa nahīñ denā
ye tohfe ham ne dekhā hai bahut majbūr karte haiñ
mohabbat ham se karnī hai
to phir shikva nahīñ karnā
ki shikve ham ne dekhā hai diloñ ko duur karte haiñ
mohabbat ke hasīñ lamhoñ meñ ye ranjūr karte haiñ
mohabbat hum se karni hai
to phir wa'da nahin karna
ye wa'de hum ne dekha hai ki aksar TuT jate hain
mohabbat hum se karni hai
to phir zid bhi nahin karni
isi zid se ye dekha hai ki sathi chhuT jate hain
mohabbat hum se karni hai
to phir tohfa nahin dena
ye tohfe hum ne dekha hai bahut majbur karte hain
mohabbat hum se karni hai
to phir shikwa nahin karna
ki shikwe hum ne dekha hai dilon ko dur karte hain
mohabbat ke hasin lamhon mein ye ranjur karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.