mohabbat jism hai mana
koī āvāz thī jis ke talātum meñ
yuuñ bah jaanā kahāñ manzūr mujh ko thā
kahīñ vahshat ke an-dekhe bhañvar ke saat parde the
jo zindānoñ meñ khulte the
har ek zindāñ meñ maiñ thī
aur mirī sarshār tabī.at ke har ek lamhe kī sāñsoñ meñ
kahīñ merī anā thī merī tāqat thī mohabbat thī
maiñ kab aisī kisī āvāz kī zad meñ
mohabbat DhūñDhtī tahlīl hotī
aur āvāra sī kuchh maujoñ meñ mil kar ḳhud ko kho detī
mohabbat jism hai maanā
magar sarshār rūhoñ kī alag bhī ek bastī hai
ḳhayāloñ se pare bhī ik nagar hai
jis meñ ham tum zindagī kī fāqa-mastī aur udāsī aur ḳhāmoshī ke jangal se guzarte haiñ
jahāñ vīrāniyoñ kī saltanat meñ
dīda-o-nādīda ḳhvāb bante aur ujaḌte haiñ
kahīñ ham rāste ke sang-pāroñ se ulajh kar
ek lamhe meñ hazāroñ baar jiite aur marte haiñ
mohabbat jism ke chhoTe se hujre ke
kisī goshe meñ rahtī hai
yahāñ rauzan nahīñ koī
kahīñ se raushnī kī ik kiran andar nahīñ aatī
bahut gahrā añdherā hai
tasavvur aur ḳhayāloñ kī guzargāhoñ pe pahrā hai
mohabbat ek lā hāsil safar kā sātvāñ parda hai
jis meñ ik samundar us kī tuġhyānī ḳhamoshī kā baserā hai
samundar shānt hotā hai to pistānoñ se lahreñ yuuñ lipaTtī haiñ
ki jaise ghan garaj ke baa'd sarshārī kā lamha ho
usī lamhe meñ vaqfe meñ
mohabbat be-karāñ hotī hai jiitī hai
mohabbat gungunātī aur bikhartī hai
mohabbat jāvedāñ hotī mahaktī hai
koi aawaz thi jis ke talatum mein
yun bah jaana kahan manzur mujh ko tha
kahin wahshat ke an-dekhe bhanwar ke sat parde the
jo zindanon mein khulte the
har ek zindan mein main thi
aur meri sarshaar tabiat ke har ek lamhe ki sanson mein
kahin meri ana thi meri taqat thi mohabbat thi
main kab aisi kisi aawaz ki zad mein
mohabbat DhunDhti tahlil hoti
aur aawara si kuchh maujon mein mil kar KHud ko kho deti
mohabbat jism hai mana
magar sarshaar ruhon ki alag bhi ek basti hai
KHayalon se pare bhi ek nagar hai
jis mein hum tum zindagi ki faqa-masti aur udasi aur KHamoshi ke jangal se guzarte hain
jahan viraniyon ki saltanat mein
dida-o-nadida KHwab bante aur ujaDte hain
kahin hum raste ke sang-paron se ulajh kar
ek lamhe mein hazaron bar jite aur marte hain
mohabbat jism ke chhoTe se hujre ke
kisi goshe mein rahti hai
yahan rauzan nahin koi
kahin se raushni ki ek kiran andar nahin aati
bahut gahra andhera hai
tasawwur aur KHayalon ki guzargahon pe pahra hai
mohabbat ek la hasil safar ka satwan parda hai
jis mein ek samundar us ki tughyani KHamoshi ka basera hai
samundar shant hota hai to pistanon se lahren yun lipaTti hain
ki jaise ghan garaj ke ba'd sarshaari ka lamha ho
usi lamhe mein waqfe mein
mohabbat be-karan hoti hai jiti hai
mohabbat gungunati aur bikharti hai
mohabbat jawedan hoti mahakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.