mohabbat ka ek sal
is ik saal meñ
kitne saal guzāreñge ham
har ik din, ik saal misāl
har ik din kī sub.h kā sūraj harf-e-savāl
har ik din kī jhulsī huī aur bhīgī huī dopahr zavāl
har ik din kii, har ik shaam shām-e-jamāl
har ik shaam kī raat kamāl
vasl ke har ik lamhe meñ haiñ jaise sadiyāñ ghulī huī
hijr ke har lamhe meñ jaise
halkī aañch pe ret kī dhaḌyāñ bhunī huī
siine meñ har dhaḌkan, jaise
cholastānī uuñT kī gardan meñ hoñ Tali.yāñ bañdhī huī
āñkhoñ kī do jhīloñ meñ haiñ
kañval malāl ke khile hue
hoñT aapas meñ mile hue
hichkiyoñ meñ haiñ bañdhe hue
saañs kī phāñs hai saale sūraj ke siine meñ gaḌī huī
chāñd harām-udahar, samundar goTh ke andar
barfoñ barfoñ dhañsā huā
din aur raat bhī
nañg-dhaḌañge ik duuje se lage hue
un ke pāñv-tale miTTī hai
aur na sar par Topī hai
vaqt aane vaale barsoñ ke ḳhalā meñ chaltā jaatā hai
ye ik saal mohabbat kā
thame hue din raat ke nañge-pan par jamtā jaatā hai
is ek sal mein
kitne sal guzarenge hum
har ek din, ek sal misal
har ek din ki subh ka suraj harf-e-sawal
har ek din ki jhulsi hui aur bhigi hui dopahr zawal
har ek din ki, har ek sham sham-e-jamal
har ek sham ki raat kamal
wasl ke har ek lamhe mein hain jaise sadiyan ghuli hui
hijr ke har lamhe mein jaise
halki aanch pe ret ki dhaDyan bhuni hui
sine mein har dhaDkan, jaise
cholastani unT ki gardan mein hon Taliyan bandhi hui
aankhon ki do jhilon mein hain
kanwal malal ke khile hue
honT aapas mein mile hue
hichkiyon mein hain bandhe hue
sans ki phans hai sale suraj ke sine mein gaDi hui
chand haram-udahar, samundar goTh ke andar
barfon barfon dhansa hua
din aur raat bhi
nang-dhaDange ek duje se lage hue
un ke panw-tale miTTi hai
aur na sar par Topi hai
waqt aane wale barson ke KHala mein chalta jata hai
ye ek sal mohabbat ka
thame hue din raat ke nange-pan par jamta jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.