mohabbat ka raqs
tujhe dekhne ke baad
taḳhayyul ke dariyā meñ ubhartī mauj ne
dil ke sāhil par
rangīñ sī dastak dī hai
mirī samā.atoñ ne terī āvāz kā zā.iqa
ḳhvāb meñ bhī nahīñ chakhā
tire lahje ke bajte sitār se
shurūa hone vaalā raqs dekhne ko
tishna āñkheñ barmalā iz.hār kartī haiñ ki
terā dīdār mujhe sabz kar saktā hai
ai ḳhush-navīs
tū ne jab se mire naam meñ
rang bhare
us naam se ḳhushbū phūTtī hai
tire hāthoñ se likhe
tajammul jumle amar ho jaate haiñ
in hāthoñ se
aqīdat-o-mohabbat kī mahak mire vajūd ko
mo.attar kiye hue hai
maiñ ne iz.hār ke sachche motī
ret meñ lapeT kar
dariyā-e-jehlum ke havāle kar diye haiñ
āsmān safed ridā oḌhne lagā
aur
saif-ul-mulūk kā lahja samajhne ke baad
surḳh socheñ
sabz raushnī meñ raqs kar rahī haiñ
tujhe dekhne ke baad
taKHayyul ke dariya mein ubharti mauj ne
dil ke sahil par
rangin si dastak di hai
meri samaaton ne teri aawaz ka zaiqa
KHwab mein bhi nahin chakha
tere lahje ke bajte sitar se
shurua hone wala raqs dekhne ko
tishna aankhen barmala izhaar karti hain ki
tera didar mujhe sabz kar sakta hai
ai KHush-nawis
tu ne jab se mere nam mein
rang bhare
us nam se KHushbu phuTti hai
tere hathon se likhe
tajammul jumle amar ho jate hain
in hathon se
aqidat-o-mohabbat ki mahak mere wajud ko
moattar kiye hue hai
main ne izhaar ke sachche moti
ret mein lapeT kar
dariya-e-jehlum ke hawale kar diye hain
aasman safed rida oDhne laga
aur
saif-ul-muluk ka lahja samajhne ke baad
surKH sochen
sabz raushni mein raqs kar rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.