mohabbat KHwab jaisi hai
kisī bhī aañkh kī putlī pe chupke se
utartī hai nishāñ sā chhoḌ jaatī hai
yaqīñ ke rañg dhuñdlā kar
gumāñ sā chhoḌ jaatī hai
mohabbat kā koī kulliya koī qānūn
logoñ kī samajh meñ aa nahīñ saktā
koī bhī us ke gahre bhed hargiz pā nahīñ saktā
chamaktī dhuup kī in chilchilātī zard tāroñ se
banā hai us ko fitrat ne
ye sab rañgoñ se bartar hai
magar har rañg us meñ ghul gayā goyā
chhuo to haath kī poreñ gulābī hoñ
samā.at meñ utartī dhīmī dhīmī chaap jaisī hai
kitāb-e-zīst ke bhūle hue se baab jaisī hai
mohabbat ḳhvāb jaisī hai
kisi bhi aankh ki putli pe chupke se
utarti hai nishan sa chhoD jati hai
yaqin ke rang dhundla kar
guman sa chhoD jati hai
mohabbat ka koi kulliya koi qanun
logon ki samajh mein aa nahin sakta
koi bhi us ke gahre bhed hargiz pa nahin sakta
chamakti dhup ki in chilchilati zard taron se
bana hai us ko fitrat ne
ye sab rangon se bartar hai
magar har rang us mein ghul gaya goya
chhuo to hath ki poren gulabi hon
samaat mein utarti dhimi dhimi chap jaisi hai
kitab-e-zist ke bhule hue se bab jaisi hai
mohabbat KHwab jaisi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.