mohabbat ki bhi koi umr hoti hai
mohabbat kī harārat
dil ko pighlā.e binā rah hī nahīñ saktī
kisī kī ghaTtī baḌhtī umr kā us se ta.alluq kyā
mohabbat kā na koī vaqt hotā hai
na us kī umr hotī hai
ye jab chāhe jise chāhe
jakaḌ letī apne sehr meñ ek-dam
mohabbat kī bhī koī umr hotī
na-jāne kis ne tum se kah diyā kis shai ke nashshe meñ
maiñ us se jab milā mujh ko hañsī aa.ī thī ye sun kar
mohabbat ke na.e mafhūm se vāqif na hone par
mujhe apnī jahālat par
mohabbat kī bhī koī umr hotī hai
maiñ ḳhud se pūchhtā huuñ
aur phir ḳhud hī javāb aane se pahle
maiñ simaT jaatā huuñ apnī zaat ke
barsoñ purāne ḳhol ke andar
usī ThiThure hue
māhaul ke andar
mohabbat ki hararat
dil ko pighlae bina rah hi nahin sakti
kisi ki ghaTti baDhti umr ka us se talluq kya
mohabbat ka na koi waqt hota hai
na us ki umr hoti hai
ye jab chahe jise chahe
jakaD leti apne sehr mein ek-dam
mohabbat ki bhi koi umr hoti
na-jaane kis ne tum se kah diya kis shai ke nashshe mein
main us se jab mila mujh ko hansi aai thi ye sun kar
mohabbat ke nae mafhum se waqif na hone par
mujhe apni jahaalat par
mohabbat ki bhi koi umr hoti hai
main KHud se puchhta hun
aur phir KHud hi jawab aane se pahle
main simaT jata hun apni zat ke
barson purane KHol ke andar
usi ThiThure hue
mahaul ke andar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.