mohabbat kya hai
mere nazdīk mohabbat ilhāmī shai hai
ye āsmānoñ se utartī hai
dil kī paak shaffāf zamīn par
ye mohabbat azān-e-fajr ke baad utartī huī paak sahar hai
ye itnī paak hai jitnā jis kā taḳhayyul paak hai
mohabbat is qadar pākīza hotī hai jitnā jis kā ḳhuun paak hotā hai
mohabbat us ko kahte haiñ jab roza-dār iftār ke vaqt
ik paanī kā gilās sāmne rakhe us āvāz kā intizār kartā hai ki kab hukm ho
us āvāz kā intizār mohabbat hai
mohabbat vo manzil hai jis ke rāste pe chalne vaale dil āb-e-zamzam se dhule hote haiñ
mohabbat rizq hai un āñkhoñ kā jo mahbūb kā dīdār bā-vazū ho kar kartī haiñ
un logoñ ke chahār-jānib bahār-e-mohabbat ke gulāb khilte haiñ jin pe ḳhizāñ nahīñ aatī
mohabbat kā gulshan
izzat kī ḳhushbū se mahaktā hai
ye mohabbat vo jazba hai jis ke tahat garmī kī shiddat pyaas kī hiddat meñ
chhāñv kī jagah par parindoñ ko paanī rakhā jaa.e
ye mohabbat vo manzil hai jis pe pahuñchne ke liye ik pyāse kutte ko paanī pilānā paḌtā hai
mohabbat naam zabān pe aane se pahle soch ko bā-vazū ho jaanā chāhiye
aur jinhoñ ne nām-e-mohabbat ko utran kī tarah pahnā hai
jinhoñ ne mohabbat ko hī dhoka diyā hai
un pe phir mohabbat azaab ban ke utartī hai
mohabbat ruuTh jaatī hai
kyūñki ye izzat hai
aisī izzat jo mohabbat se pahle dil kī sarzamīn pe utre
aur izzateñ buland raheñ hamesha mohabbatoñ se
jahāñ izzat kī sar-bulandī rahegī vahāñ mohabbat hamesha zinda rahegī
aur jin logoñ ne
mohabbat ko kārobār banāyā hai
vo log mohabbat kī miim se nā-balad haiñ
un ke vāste mohabbat naam ke chand din hote haiñ
phir bahāne aur apnī ġhalīz fitrat ke pesh-e-nazar
kabhī ik dar kabhī dūsrā dar
kabhī yahāñ jhukā kabhī vahāñ jhukā
are suno
mohabbat ke naam pe ta'alluqāt ko libās se jald badalne vaale insān
tauhīn mat karo mohabbat kī
is ilhāmī shai ko is paak jazbe ko paak rahne do
aur yaad rakho tauhīn-e-mohabbat ke murtakib
tum se to ab nafrat bhī mere shāyān-e-shān nahīñ
mere nazdik mohabbat ilhami shai hai
ye aasmanon se utarti hai
dil ki pak shaffaf zamin par
ye mohabbat azan-e-fajr ke baad utarti hui pak sahar hai
ye itni pak hai jitna jis ka taKHayyul pak hai
mohabbat is qadar pakiza hoti hai jitna jis ka KHun pak hota hai
mohabbat us ko kahte hain jab roza-dar iftar ke waqt
ek pani ka gilas samne rakhe us aawaz ka intizar karta hai ki kab hukm ho
us aawaz ka intizar mohabbat hai
mohabbat wo manzil hai jis ke raste pe chalne wale dil aab-e-zamzam se dhule hote hain
mohabbat rizq hai un aankhon ka jo mahbub ka didar ba-wazu ho kar karti hain
un logon ke chahaar-jaanib bahaar-e-mohabbat ke gulab khilte hain jin pe KHizan nahin aati
mohabbat ka gulshan
izzat ki KHushbu se mahakta hai
ye mohabbat wo jazba hai jis ke tahat garmi ki shiddat pyas ki hiddat mein
chhanw ki jagah par parindon ko pani rakha jae
ye mohabbat wo manzil hai jis pe pahunchne ke liye ek pyase kutte ko pani pilana paDta hai
mohabbat nam zaban pe aane se pahle soch ko ba-wazu ho jaana chahiye
aur jinhon ne nam-e-mohabbat ko utran ki tarah pahna hai
jinhon ne mohabbat ko hi dhoka diya hai
un pe phir mohabbat azab ban ke utarti hai
mohabbat ruTh jati hai
kyunki ye izzat hai
aisi izzat jo mohabbat se pahle dil ki sarzamin pe utre
aur izzaten buland rahen hamesha mohabbaton se
jahan izzat ki sar-bulandi rahegi wahan mohabbat hamesha zinda rahegi
aur jin logon ne
mohabbat ko karobar banaya hai
wo log mohabbat ki mim se na-balad hain
un ke waste mohabbat nam ke chand din hote hain
phir bahane aur apni ghaliz fitrat ke pesh-e-nazar
kabhi ek dar kabhi dusra dar
kabhi yahan jhuka kabhi wahan jhuka
are suno
mohabbat ke nam pe ta'alluqat ko libas se jald badalne wale insan
tauhin mat karo mohabbat ki
is ilhami shai ko is pak jazbe ko pak rahne do
aur yaad rakho tauhin-e-mohabbat ke murtakib
tum se to ab nafrat bhi mere shayan-e-shan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.