mohabbat mar nahin sakti
mohabbat mar nahīñ saktī
haqīqat phir haqīqat hai haqīqat mar nahīñ saktī
ḳhudāvand-e-mohabbat kī sharī.at mar nahīñ saktī
mohabbat mar nahīñ saktī
bahar-sū jabr-o-istibdād chāhe sūliyāñ gaaḌe
utar aa.eñ balā.eñ haath meñ zahrāb le le kar
fazā bārūd ban kar bhī sulag uThe to kyā hogā
ye vo jazba hai jo zarroñ ke siine meñ numū paa.e
ye vo naġhma hai jo zaḳhmoñ ke hoñToñ se ubhartā hai
mohabbat husn-e-fitrat hai ye fitrat mar nahīñ saktī
mohabbat mar nahīñ saktī
kamāl-e-fikr-e-tāġhūtī koī tirshūl le aa.e
farā.īn-e-kuhan Dhal jaa.eñ chāhe paikar-e-nau meñ
samundar ko sitamgar-hāth gar tezāb kar Dāleñ
havāoñ meñ halākat-gīriyāñ tahlīl kar Dāleñ
mohabbat nuur hai ālūdgī se jism marte haiñ
mohabbat meñ koī ālūdgī zam ho nahīñ saktī
ye vo quvvat hai jo shaitān se bhī Dar nahīñ saktī
mohabbat mar nahīñ saktī
mohabbat mar nahin sakti
haqiqat phir haqiqat hai haqiqat mar nahin sakti
KHudawand-e-mohabbat ki shariat mar nahin sakti
mohabbat mar nahin sakti
bahar-su jabr-o-istibdad chahe suliyan gaDe
utar aaen balaen hath mein zahrab le le kar
faza barud ban kar bhi sulag uThe to kya hoga
ye wo jazba hai jo zarron ke sine mein numu pae
ye wo naghma hai jo zaKHmon ke honTon se ubharta hai
mohabbat husn-e-fitrat hai ye fitrat mar nahin sakti
mohabbat mar nahin sakti
kamal-e-fikr-e-taghuti koi tirshul le aae
farain-e-kuhan Dhal jaen chahe paikar-e-nau mein
samundar ko sitamgar-hath gar tezab kar Dalen
hawaon mein halakat-giriyan tahlil kar Dalen
mohabbat nur hai aaludgi se jism marte hain
mohabbat mein koi aaludgi zam ho nahin sakti
ye wo quwwat hai jo shaitan se bhi Dar nahin sakti
mohabbat mar nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.