mohabbat mar nahin sakti
vahī be-tābiyāñ dil kī
vahī phirtā huā dariyā
vahī kachchā ghaḌā hai muntazir sach ke musāfir kā
vahī shab kī siyah chādar
chhupī haiñ sāzisheñ jis meñ azīzoñ kī
purāne dostoñ kī ham-jalīsoñ kī
vahī sargoshiyāñ sail-e-sitam kī
vahī manzar
jo hotā hai hamesha rūh-farsā hādsoñ kā pesh-ḳhema sā
vahī saare qarīne saare hiile haiñ baham ab ke
jo ahl-e-dil ko be-manzil banāne kī haiñ tadbīreñ
magar ahl-e-jahāñ ko kyā ḳhabar
kachche ghaḌe par tair kar rāh-e-mohabbat meñ fanā honā
alag se ik kahānī hai
ki ye vo maut hai jis meñ
baqā-e-jāvedānī hai
mohabbat mar nahīñ saktī
mohabbat ġhair-fānī hai
mohabbat ġhair-fānī hai
wahi be-tabiyan dil ki
wahi phirta hua dariya
wahi kachcha ghaDa hai muntazir sach ke musafir ka
wahi shab ki siyah chadar
chhupi hain sazishen jis mein azizon ki
purane doston ki ham-jalison ki
wahi sargoshiyan sail-e-sitam ki
wahi manzar
jo hota hai hamesha ruh-farsa hadson ka pesh-KHema sa
wahi sare qarine sare hile hain baham ab ke
jo ahl-e-dil ko be-manzil banane ki hain tadbiren
magar ahl-e-jahan ko kya KHabar
kachche ghaDe par tair kar rah-e-mohabbat mein fana hona
alag se ek kahani hai
ki ye wo maut hai jis mein
baqa-e-jawedani hai
mohabbat mar nahin sakti
mohabbat ghair-fani hai
mohabbat ghair-fani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.