mohabbat riwayat nahin hai
mohabbat vo pāmāl rasta nahīñ hai
ke aate hue moḌ kī har ḳhabar
kirm-ḳhurda kitāboñ ke bosīda safhoñ kī dhundlī lakīroñ meñ chhup-chhup ke uryāñ huī ho
mohabbat kī tasvīr kis ne banā.ī
mohabbat ke safar kā safar-nāma kis ne likhā hai
agar koī ik gum-shuda sī sadī meñ
idhar se guzar bhī gayā thā
to us ko ḳhabar kyā
koī biitā mausam inhī pattharoñ kī kisī darz meñ koī koñpal khilā kar gayā ho
mohabbat kā har tajraba dūsre se alaihada nā hotā
to ye jhurriyoñ sī darāḌoñ se labrez patthar se chehre
hameñ apne pāmāl rastoñ pe uñglī pakaḌ kar chalāte
ye ḳhud ham se kahte ke jaao mohabbat karo
magar jān-e-jānāñ
hamārā tumhārā yahī mas.ala hai
baġhāvat rivāyat nahīñ hai
mohabbat wo pamal rasta nahin hai
ke aate hue moD ki har KHabar
kirm-KHurda kitabon ke bosida safhon ki dhundli lakiron mein chhup-chhup ke uryan hui ho
mohabbat ki taswir kis ne banai
mohabbat ke safar ka safar-nama kis ne likha hai
agar koi ek gum-shuda si sadi mein
idhar se guzar bhi gaya tha
to us ko KHabar kya
koi bita mausam inhi pattharon ki kisi darz mein koi konpal khila kar gaya ho
mohabbat ka har tajraba dusre se alaihada na hota
to ye jhurriyon si daraDon se labrez patthar se chehre
hamein apne pamal raston pe ungli pakaD kar chalate
ye KHud hum se kahte ke jao mohabbat karo
magar jaan-e-jaanan
hamara tumhaara yahi masala hai
baghawat riwayat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.