mohabbat
tumheñ ye kis ne kah diyā āḳhir
ki
kisī restaurant ke niim tārīk goshe meñ
baiTh kar maddham sargoshiyoñ meñ
muskurāte laboñ se baat karnā
aur icecream ke cup meñ chammach hilāte hue
ḳhvāhish-e-dil ko zabāñ par le aanā mohabbat hai
tumheñ ye kis ne kah dayā āḳhir
ki
kisī raqs-kade meñ
ham-raqs ke bāloñ ko chhūte hue dhīre se
dilkash dhunoñ ke hasīñ suroñ par
uThte hue qadmoñ kī taal par
āñkhoñ meñ jhāñknā
sitāroñ ko chun lenā
aur an-kahī sunā denā mohabbat hai
jā.ez-o-nā-jā.ez ke falsafe kā asā thāme
javāz-e-had-o-be-had kī dīvār sajā.e
bilā dastak be-rūh makān-e-jism meñ dar aanā mohabbat hai
mohabbat ko mahz chaar harf na samjho jinheñ tum scrabble meñ isti.māl karte ho
na hī mohabbat koī video game hai
jis meñ gum ho kar tum tension ko bhulāte ho
mohabbat ko wrong number samajh ke milāte ho
mohabbat koī Darā huā parinda nahīñ
jise tum jumloñ kī Dor se bāñdhte ho
muTThī meñ band karte ho aur bhuul jaate ho
balki mohabbat to kisī vahshī qabīle kī chālāk devī
tumhārī anā ko apne tilism meñ yuuñ qaid kartī hai
ki tum saarā zo.am bhuul jaate ho
mohabbat man kā sachchā saudā hai
ise bāzār meñ bechā nahīñ karte
mohabbat ik nāzuk sī laḌkī
jise rulāyā nahīñ karte
mohabbat ko zaa.e.a nahīñ karte
tumhein ye kis ne kah diya aaKHir
ki
kisi restaurant ke nim tarik goshe mein
baiTh kar maddham sargoshiyon mein
muskuraate labon se baat karna
aur icecream ke cup mein chammach hilate hue
KHwahish-e-dil ko zaban par le aana mohabbat hai
tumhein ye kis ne kah daya aaKHir
ki
kisi raqs-kade mein
ham-raqs ke baalon ko chhute hue dhire se
dilkash dhunon ke hasin suron par
uThte hue qadmon ki tal par
aankhon mein jhankna
sitaron ko chun lena
aur an-kahi suna dena mohabbat hai
jaez-o-na-jaez ke falsafe ka asa thame
jawaz-e-had-o-be-had ki diwar sajae
bila dastak be-ruh makan-e-jism mein dar aana mohabbat hai
mohabbat ko mahz chaar harf na samjho jinhen tum scrabble mein istimal karte ho
na hi mohabbat koi wideo game hai
jis mein gum ho kar tum tension ko bhulate ho
mohabbat ko wrong number samajh ke milate ho
mohabbat koi Dara hua parinda nahin
jise tum jumlon ki Dor se bandhte ho
muTThi mein band karte ho aur bhul jate ho
balki mohabbat to kisi wahshi qabile ki chaalak dewi
tumhaari ana ko apne tilism mein yun qaid karti hai
ki tum sara zoam bhul jate ho
mohabbat man ka sachcha sauda hai
ise bazar mein becha nahin karte
mohabbat ek nazuk si laDki
jise rulaya nahin karte
mohabbat ko zaea nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.