mother day
aaj maaoñ ke 'ālamī din par
chaar sū rang aise bikhre haiñ
jaise qaus-o-quzah utar aa.e
jaise bād-e-sabā chale tham tham
jaise aa jaa.e gulsitāñ meñ bahār
aaj maa.eñ bhī ḳhud pe nāzāñ haiñ
markaz-e-dil haiñ markaz-e-jāñ haiñ
aur maiñ huuñ ki aaj pahlī baar
lahd-e-mādar pe rakhne aayā huuñ
ek guldasta apnī chāhat kā
mere andar yaqīn zinda hai
dekhtī hai falak se vo mujh ko
muskurātī hai merī ḳhushiyoñ pe
aur mire dukh pe ashk afshāñ hai
mujh ko kāmil yaqīñ hai merī maañ
go bazāhir yahāñ nahīñ maujūd
vo mire saath saath rahtī hai
mujh ko ab bhī du'ā.eñ detī hai
aaj maon ke 'alami din par
chaar su rang aise bikhre hain
jaise qaus-o-quzah utar aae
jaise baad-e-saba chale tham tham
jaise aa jae gulsitan mein bahaar
aaj maen bhi KHud pe nazan hain
markaz-e-dil hain markaz-e-jaan hain
aur main hun ki aaj pahli bar
lahd-e-madar pe rakhne aaya hun
ek guldasta apni chahat ka
mere andar yaqin zinda hai
dekhti hai falak se wo mujh ko
muskuraati hai meri KHushiyon pe
aur mere dukh pe ashk afshan hai
mujh ko kaamil yaqin hai meri man
go bazahir yahan nahin maujud
wo mere sath sath rahti hai
mujh ko ab bhi du'aen deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.