mudawa ho nahin sakta
mudāvā ho nahīñ saktā
dil-e-sāda
ab is ātish-numā ke sāmne ijz-e-mohabbat kā i.aada ho nahīñ saktā
ye kyā kam hai
ki apne aap tak ko bhuul kar
us husn-e-ḳhud-āgāh kī ḳhātir na jaane kitne roz-o-shab the
jo ham ne ginvā.e the
bahut saare dinoñ kī gaThḌiyāñ thiiñ
jin ko kholā tak na thā ham ne
bas ik tah-ḳhāna-e-umr-e-guzishta meñ
ham in sab gaThḌiyoñ ko Dher karte jā rahe the un ghanī
palkoñ kī ThanDī chhāñv ko mahsūs karne kī tamannā meñ hameñ
ye dhyān kab thā kaun sī gaThḌī meñ kitnā ḳhūbsūrat din
bañdhā hai aur us be-dām din kī sub.h-sāhir kis havā
ke tahat se utrī hai kin phūloñ kī ḳhushbū zeb-e-tan
kar ke savād-e-shab se jhāñkī hai
lab-o-ruḳhsār ko qaus-e-quzah ke rañg dene kī
abas ḳhvāhish meñ ham ko dhyān kab thā kaun sī gaThḌī
maiñ kis din kī dopahar apne tilism-āsār rāzoñ ko sunahrī
dhuup ke thal meñ jagātī hai
chhatoñ par sūkhtī mirchoñ
galī meñ gūñjtī asrār meñ Duubī huī sī ḳhāmushī meñ
kaun se lamhe sulagte haiñ
hameñ ye dhyān kab tak
us tamannā-zār ke pairāhan-e-sad-rañg ke andar bahaktī garm ḳhushbū
ke ḳhirām-e-tāza meñ kho.e huoñ ko dhyān kab thā kaun
se din kī suhānī shaam kin ufuqoñ ko rotī hai
bahut saare dukhoñ ko darmiyān
jo ek sham-e-ārzū thī us ko lo ke sāmne jhuk kar ham us
be-mehr chashm-e-munharif meñ bas zarā sī der ko ik harf kī ta.abīr paḌhnā
chāhte the aur ḳhamīr-e-ishq meñ gūñdhe hue ik ḳhvāb kā iz.hār
karnā chāhte the aur us saarī kahānī meñ hameñ
ye dhyān kab thā kaun sī gaThḌī meñ kis din
kā janāza hai
abhī tah-ḳhāna-e-umr-e-guzashta kā ye darvāza khulā
to dhyān aayā hai ki itnī Dher saarī umr miTTī meñ
milā kar jo ḳhasāra haath aayā hai dobāra ho nahīñ saktā
mudāvā ho nahīñ saktā
dil-e-sāda
ab is ātish-numā ke sāmne ijz-e-mohabbat kā i.aada ho nahīñ saktā
mudawa ho nahin sakta
dil-e-sada
ab is aatish-numa ke samne ijz-e-mohabbat ka iada ho nahin sakta
ye kya kam hai
ki apne aap tak ko bhul kar
us husn-e-KHud-agah ki KHatir na jaane kitne roz-o-shab the
jo hum ne ginwae the
bahut sare dinon ki gaThDiyan thin
jin ko khola tak na tha hum ne
bas ek tah-KHana-e-umr-e-guzishta mein
hum in sab gaThDiyon ko Dher karte ja rahe the un ghani
palkon ki ThanDi chhanw ko mahsus karne ki tamanna mein hamein
ye dhyan kab tha kaun si gaThDi mein kitna KHubsurat din
bandha hai aur us be-dam din ki subh-sahir kis hawa
ke tahat se utri hai kin phulon ki KHushbu zeb-e-tan
kar ke sawad-e-shab se jhanki hai
lab-o-ruKHsar ko qaus-e-quzah ke rang dene ki
abas KHwahish mein hum ko dhyan kab tha kaun si gaThDi
main kis din ki dopahar apne tilism-asar raazon ko sunahri
dhup ke thal mein jagati hai
chhaton par sukhti mirchon
gali mein gunjti asrar mein Dubi hui si KHamushi mein
kaun se lamhe sulagte hain
hamein ye dhyan kab tak
us tamanna-zar ke pairahan-e-sad-rang ke andar bahakti garm KHushbu
ke KHiram-e-taza mein khoe huon ko dhyan kab tha kaun
se din ki suhani sham kin ufuqon ko roti hai
bahut sare dukhon ko darmiyan
jo ek sham-e-arzu thi us ko lo ke samne jhuk kar hum us
be-mehr chashm-e-munharif mein bas zara si der ko ek harf ki tabir paDhna
chahte the aur KHamir-e-ishq mein gundhe hue ek KHwab ka izhaar
karna chahte the aur us sari kahani mein hamein
ye dhyan kab tha kaun si gaThDi mein kis din
ka janaza hai
abhi tah-KHana-e-umr-e-guzashta ka ye darwaza khula
to dhyan aaya hai ki itni Dher sari umr miTTi mein
mila kar jo KHasara hath aaya hai dobara ho nahin sakta
mudawa ho nahin sakta
dil-e-sada
ab is aatish-numa ke samne ijz-e-mohabbat ka iada ho nahin sakta
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 479)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.