mufakkir ki maut
Interesting Fact
(Bertrand Russell's Funeral)
ye ik bāġhī mufakkir kā janāza hai
hilā Daalā thā apnī kāfirāna fikr se jis ne
yakāyak saarī duniyā ko
faqat biis aadmī hamrāh haiñ is ke janāze ke
zamāna jis kī qadr-o-manzilat kartā thā aur jis ke ḳhayāloñ se sañvartā thā
vo bāġhī jā rahā hai aaj akelā ek albelā musāfir thā
karoḌoñ mominoñ par thā jo bhārī aisā kāfir thā
sitāre kyuuñ chamakte haiñ diloñ kā mājrā kyā hai
satīza-ḳhū hai kyuuñ insāñ mohabbat kā maza kyā hai
ye tahqīq is kā maz.hab thā
hazāroñ saal nargis apnī be-nūrī pe ro.egī
ye ek baghi mufakkir ka janaza hai
hila Dala tha apni kafirana fikr se jis ne
yakayak sari duniya ko
faqat bis aadmi hamrah hain is ke janaze ke
zamana jis ki qadr-o-manzilat karta tha aur jis ke KHayalon se sanwarta tha
wo baghi ja raha hai aaj akela ek albela musafir tha
karoDon mominon par tha jo bhaari aisa kafir tha
sitare kyun chamakte hain dilon ka majra kya hai
satiza-KHu hai kyun insan mohabbat ka maza kya hai
ye tahqiq is ka mazhab tha
hazaron sal nargis apni be-nuri pe roegi
- Book : Gyan Marg ky Nazme.n (Pg. 54)
- Author : KRISHN MOHAN
- Publication : National Acadami, Ansari Market, Daryaganj (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.