muhajir
yahāñ
kabhī kabhī dhuup bhī
ziina ziina yuuñ utrī hai
jaise ajnabī ho
aur mujhe vo log yaad aa.e haiñ
jo apne vatan se bichhaḌ ga.e
muhājir jilā-vatan
jinhoñ ne samjhā thā ki ajnabī shahr meñ maut
kam logoñ ko aatī hai
jo yahāñ is gumān meñ aa.e the
ki āfiyat daa.im rahegī
tum ne Dhalte sāyoñ kī siyāsat se gurez kiyā hai
tum dhuup se Dare ho
tum ne aañkh yuuñ band kar lī hai jaise pakkī iiñT hai
mere tumhāre darmiyān ab roz-marra
hamdardiyoñ ke lafz bhī nahīñ
yahan
kabhi kabhi dhup bhi
zina zina yun utri hai
jaise ajnabi ho
aur mujhe wo log yaad aae hain
jo apne watan se bichhaD gae
muhajir jila-watan
jinhon ne samjha tha ki ajnabi shahr mein maut
kam logon ko aati hai
jo yahan is guman mein aae the
ki aafiyat daim rahegi
tum ne Dhalte sayon ki siyasat se gurez kiya hai
tum dhup se Dare ho
tum ne aankh yun band kar li hai jaise pakki inT hai
mere tumhaare darmiyan ab roz-marra
hamdardiyon ke lafz bhi nahin
- Book : saugaat-2-3 (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.