muhajir parinde ka safar
jahāñ pe ḳhatm ho
aisā safar nahīñ aayā
vo tīrgī hai ki
kuchh bhī nazar nahīñ aayā
vo raushnī hai ki
chashm-e-ġhazāl hairāñ hai
nahīñ hai taab ki
dekhe zarā bhī sū-e-falak
kahāñ se aa.ī hai
rū-e-zamīñ pe aisī chamak
ye rocketoñ ke dhamāke
ye asrī missile
gumāñ hai samt-e-samundar
badal ke rakh deñge
hare bhare sabhī manzar
badal ke rakh deñge
fasīl-e-jism kī dīvār
Dhā ke rakh deñge
ye ġham alag hai ki
vo ābshār suukh gayā
ki jis se miltī thī
jangal kī zindagī ko numū
fazā meñ duur talak
phailī huī hai kaisī bū
guloñ ke hoñT se
ab tak farār hai ḳhushbū
ye māntā huuñ ki
zauq-e-junūñ kī sarhad pe
abhī bhī
hijr kī parchhā.iyāñ
sulagtī haiñ
abhī bhī
dasht meñ kuchh lakḌiyāñ
sulagtī haiñ
ḳhizāñ ke baa'd
chaman meñ bahār aatī hai
alag ye baat kabhī ashk-bār aatī hai
agar ye sach hai to
aisā yaqīn hai mujh ko
tire visāl kā mausam
zarūr aa.egā
abhī udaas hai jangal
lahū lahū hai fazā
mire junūñ kā parinda
abhī muhājir hai
jahāñ pe ḳhatm ho
aisā safar nahīñ aayā
jahan pe KHatm ho
aisa safar nahin aaya
wo tirgi hai ki
kuchh bhi nazar nahin aaya
wo raushni hai ki
chashm-e-ghazal hairan hai
nahin hai tab ki
dekhe zara bhi su-e-falak
kahan se aai hai
ru-e-zamin pe aisi chamak
ye rocketon ke dhamake
ye asri missile
guman hai samt-e-samundar
badal ke rakh denge
hare bhare sabhi manzar
badal ke rakh denge
fasil-e-jism ki diwar
Dha ke rakh denge
ye gham alag hai ki
wo aabshaar sukh gaya
ki jis se milti thi
jangal ki zindagi ko numu
faza mein dur talak
phaili hui hai kaisi bu
gulon ke honT se
ab tak farar hai KHushbu
ye manta hun ki
zauq-e-junun ki sarhad pe
abhi bhi
hijr ki parchhaiyan
sulagti hain
abhi bhi
dasht mein kuchh lakDiyan
sulagti hain
KHizan ke ba'd
chaman mein bahaar aati hai
alag ye baat kabhi ashk-bar aati hai
agar ye sach hai to
aisa yaqin hai mujh ko
tere visal ka mausam
zarur aaega
abhi udas hai jangal
lahu lahu hai faza
mere junun ka parinda
abhi muhajir hai
jahan pe KHatm ho
aisa safar nahin aaya
- Book : Aatish Fishan (Pg. 48)
- Author : Shamim Qasmi
- Publication : Noshiin Publications (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.