muhasba
ajab sachchā.ī hai ye
vo bachpan thā jise kho kar
laḌakpan kī sabhī bāteñ javānī kī hasīñ yādeñ
kitāboñ meñ raqam kar diiñ
na jaane kitne aalim the
jinheñ sun kar jinheñ paḌh kar takabbur meñ ye kah baiThe
ki duniyā meñ
hameñ bhī ilm kī tārīf aatī hai
hamāre dil pe bhī ta.alīm ne paiġhām likkhā hai
achānak dil ke goshe se
ye ik āvāz aatī hai
tumhāre paas jitnā ilm hai us kā
ahāta kar ke batlāo
tumhāre ilm kā āġhāz aur anjām kitnā hai
ye sun kar jab muhāsib ban ke ham ne zehn meñ jhāñkā
to kyā dekhā
hamāre paas jitnā ilm hai 'shāhid'
sabhī kuchh ḳhaak par mabnī
haqīqat sirf itnī hai
hameñ kuchh bhī nahīñ aatā
ajab sachchai hai ye
wo bachpan tha jise kho kar
laDakpan ki sabhi baaten jawani ki hasin yaaden
kitabon mein raqam kar din
na jaane kitne aalim the
jinhen sun kar jinhen paDh kar takabbur mein ye kah baiThe
ki duniya mein
hamein bhi ilm ki tarif aati hai
hamare dil pe bhi talim ne paigham likkha hai
achanak dil ke goshe se
ye ek aawaz aati hai
tumhaare pas jitna ilm hai us ka
ahata kar ke batlao
tumhaare ilm ka aaghaz aur anjam kitna hai
ye sun kar jab muhasib ban ke hum ne zehn mein jhanka
to kya dekha
hamare pas jitna ilm hai 'shahid'
sabhi kuchh KHak par mabni
haqiqat sirf itni hai
hamein kuchh bhi nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.