mujassama
baḌī mushkil se ḳhud ko
pattharoñ ke biich Dhālā hai
baḌī dushvāriyoñ ke baa'd
is dil ko sañbhālā hai
magar sadiyoñ ke baa'd us ne
koī paiġhām bhejā hai
mire āġhāz ko phir se
nayā anjām bhejā hai
so ab dil chāhtā hai ki
madhur naġhmoñ meñ kho jā.ūñ
kisī ke an-kahe jumloñ ko
man hī man maiñ dohrā.ūñ
kisī ke naam par phir se
maiñ ab kuchh aur ho jā.ūñ
magar ab maiñ sile hoñToñ meñ
koī gupt naġhma huuñ
maiñ ab in pattharoñ ke biich
ik sangī mujassama huuñ
baDi mushkil se KHud ko
pattharon ke bich Dhaala hai
baDi dushwariyon ke ba'd
is dil ko sanbhaala hai
magar sadiyon ke ba'd us ne
koi paigham bheja hai
mere aaghaz ko phir se
naya anjam bheja hai
so ab dil chahta hai ki
madhur naghmon mein kho jaun
kisi ke an-kahe jumlon ko
man hi man main dohraun
kisi ke nam par phir se
main ab kuchh aur ho jaun
magar ab main sile honTon mein
koi gupt naghma hun
main ab in pattharon ke bich
ek sangi mujassama hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.