mujhko aaj na sone dena
dar mat kholo
niiñd ko andar mat aane do
varna
us kī uñgliyāñ chheḌeñgī
us album ke safhe jis meñ
tasvīreñ haiñ
kal ke kuchh āseboñ kī
zikr chhiḌegā un auqāt kā
dafn haiñ jin meñ
sab merī nākām umīdeñ
merī be-jā kāvish mere sulagte armāñ
phir bhaḌkegī aag
phir jhulsegā aaj kā dāman
phir fardā se
naata toḌne vaalī bāteñ
taaza hoñgī
mere hisse kī bachī hui kuchh kirnoñ ko
añdhiyārā Das legā
battī nahīñ bujhāo
dar mat kholo
niiñd ko andar mat aane do
dar mat kholo
nind ko andar mat aane do
warna
us ki ungliyan chheDengi
us album ke safhe jis mein
taswiren hain
kal ke kuchh aasebon ki
zikr chhiDega un auqat ka
dafn hain jin mein
sab meri nakaam umiden
meri be-ja kawish mere sulagte arman
phir bhaDkegi aag
phir jhulsega aaj ka daman
phir farda se
nata toDne wali baaten
taza hongi
mere hisse ki bachi hui kuchh kirnon ko
andhiyara Das lega
batti nahin bujhao
dar mat kholo
nind ko andar mat aane do
- Book : Namak (Pg. 140)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.