mujhe aise hi rahne do
jahāñ par bhī paḌā huuñ maiñ vahāñ par tum
kabhī aao yahāñ baiTho zarā tum ġhaur se dekho
ki kaise maiñ yahāñ duniyā kī makkārī ko sahtā huuñ
magar phir bhī maiñ chup huuñ ki koī mujh se alag na ho
bahut kuchh kah chukā huuñ maiñ kabhī khul kar kabhī ḳhāmosh lahje meñ
nahīñ samjhā koī mujh ko mujhe dukh hai to is kā hai
maiñ ab kahtā huuñ duniyā se agar sun le mohabbat se
maiñ pyāsā huuñ mohabbat kā mohabbat kā maiñ pyāsā huuñ
koī kuchh bhī kahe mujh ko mirā kuchh bhī nahīñ hogā
mujhe mā'lūm hai duniyā badalne ko kahe mujh ko
mujhe vo chhoḌ de yā phir mirī vo raah par aa jaa.eñ
nahīñ badlūñgā maiñ ab to na badlegī mirī 'ādat
mujhe aise hī rahne do mujhe aise hī rahne do
jahan par bhi paDa hun main wahan par tum
kabhi aao yahan baiTho zara tum ghaur se dekho
ki kaise main yahan duniya ki makkari ko sahta hun
magar phir bhi main chup hun ki koi mujh se alag na ho
bahut kuchh kah chuka hun main kabhi khul kar kabhi KHamosh lahje mein
nahin samjha koi mujh ko mujhe dukh hai to is ka hai
main ab kahta hun duniya se agar sun le mohabbat se
main pyasa hun mohabbat ka mohabbat ka main pyasa hun
koi kuchh bhi kahe mujh ko mera kuchh bhi nahin hoga
mujhe ma'lum hai duniya badalne ko kahe mujh ko
mujhe wo chhoD de ya phir meri wo rah par aa jaen
nahin badlunga main ab to na badlegi meri 'adat
mujhe aise hi rahne do mujhe aise hi rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.