mujhe ek nazm likhni hai
mujhe ik nazm likhnī hai
magar tum par nahīñ likhnī
pareshāñ huuñ bahut din se
magar jab likhnā chāhūñ to
tumhārā hī tasavvur hai
mire is dil-mohalle meñ
tumhārī yaad ke jugnū
musalsal jagmagāte haiñ
mire zehn-o-gumāñ kī sab
hī dīvāreñ abhī tak un
charāġhoñ se charāġhāñ haiñ
jo us tārīk shab meñ tum
jalā kar bhuul aa.e the
suno ab in charāġhoñ se
mirī ye ruuh jaltī hai
tumheñ ye bhī patā hai ki
mujhe jaltī huī shai ko
bujhānā tak nahīñ aatā
ki jaise ek din tum ne
mirī jaltī huī cigarette ko
apne paañv ke nīche
masal kar ke bujhāyā thā
jise ab tak jalāne kī
maiñ himmat kar nahīñ paayā
to kyā aise hī tum phir se
mire zehn-o-gumāñ meñ jal
rahe in apnī yādoñ ke
charāġhoñ ko havā de kar
bujhā doge
mujhe ek nazm likhni hai
magar tum par nahin likhni
pareshan hun bahut din se
magar jab likhna chahun to
tumhaara hi tasawwur hai
mere is dil-mohalle mein
tumhaari yaad ke jugnu
musalsal jagmagate hain
mere zehn-o-guman ki sab
hi diwaren abhi tak un
charaghon se charaghan hain
jo us tarik shab mein tum
jala kar bhul aae the
suno ab in charaghon se
meri ye ruh jalti hai
tumhein ye bhi pata hai ki
mujhe jalti hui shai ko
bujhana tak nahin aata
ki jaise ek din tum ne
meri jalti hui cigarette ko
apne panw ke niche
masal kar ke bujhaya tha
jise ab tak jalane ki
main himmat kar nahin paya
to kya aise hi tum phir se
mere zehn-o-guman mein jal
rahe in apni yaadon ke
charaghon ko hawa de kar
bujha doge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.