mujhe kuchh bhi nahin dikhta
siyah rāteñ khanaktī dhuup shāmeñ kah rahīñ mujh se
maiñ jin āñkhoñ se duniyā dekhtā thā kho ga.iiñ mujh se
jo duniyā ḳhūb-sūrat thī vo ab bas ek rang kī hai
aur is duniyā kī har sūrat bhī lagtī ek Dhang kī hai
tumhāre baa'd merā ġham nazar ko gaḌ.h gayā ya.anī
mirī āñkhoñ pe kaalā rang koī chaḌh gayā ya.anī
tumhārī aañkh merī thī jo ab merī nahīñ hai to
siyah chādar se dīgar ab mujhe kuchh bhī nahīñ dikhtā
mire mausam mohabbat hijr ġham ab ek jaise haiñ
magar āñkhoñ meñ pahle ke nazāre Thiik vaise haiñ
mujhe ab Dar nahīñ lagtā hai duniyā ke añdheroñ se
mujhe ab Dar nahīñ lagtā mire apne parāyoñ se
mujhe sab aam lagtā hai mirī tanhā.ī ke aage
mirī tanhā.ī mere saath har ik raat meñ jaage
vo āñkheñ so ga.iiñ jab ḳhvāb kā chehra dikhā kar to
siyah chādar se dīgar ab mujhe kuchh bhī nahīñ dikhtā
jin āñkhoñ se tumhāre saath maiñ ne ḳhvāb dekhe the
jin āñkhoñ ne tumhāre pyaar ke sailāb dekhe the
vo āñkheñ jo faqat mere liye rab ne tarāshī thiiñ
un āñkhoñ ne tumhāre saath meñ sadiyāñ guzārī thiiñ
jin āñkhoñ ne tumhāre pyaar ke sapne ugaa.e the
jin āñkhoñ ne tumhāre hijr ke qissa sunā.e the
siyah parde ne un ko Dhak liyā hai is liye jānāñ
siyah chādar se dīgar ab mujhe kuchh bhī nahīñ dikhtā
vo āñkheñ jo mirī tasvīroñ ko chūme na thaktī thiiñ
vo āñkheñ jo mire dīdār meñ raste ko taktī thiiñ
un āñkhoñ kī sabhī bāteñ nahīñ jhūTī nahīñ hoñgī
ġhamoñ meñ un kī barsāteñ nahīñ jhūTī nahīñ hoñgī
bichhaḌnā jab huā hogā vo barsī hoñgī sach-much meñ
maiñ dikh jā.ūñ kahīñ ik baar tarsī hoñgī sach-much meñ
in āñkhoñ se bichhaḌ kar ho ga.ī duniyā mirī dhuñdlī
siyah chādar se dīgar ab mujhe kuchh bhī nahīñ dikhtā
siyah raaten khanakti dhup shamen kah rahin mujh se
main jin aankhon se duniya dekhta tha kho gain mujh se
jo duniya KHub-surat thi wo ab bas ek rang ki hai
aur is duniya ki har surat bhi lagti ek Dhang ki hai
tumhaare ba'd mera gham nazar ko gaDh gaya yani
meri aankhon pe kala rang koi chaDh gaya yani
tumhaari aankh meri thi jo ab meri nahin hai to
siyah chadar se digar ab mujhe kuchh bhi nahin dikhta
mere mausam mohabbat hijr gham ab ek jaise hain
magar aankhon mein pahle ke nazare Thik waise hain
mujhe ab Dar nahin lagta hai duniya ke andheron se
mujhe ab Dar nahin lagta mere apne parayon se
mujhe sab aam lagta hai meri tanhai ke aage
meri tanhai mere sath har ek raat mein jage
wo aankhen so gain jab KHwab ka chehra dikha kar to
siyah chadar se digar ab mujhe kuchh bhi nahin dikhta
jin aankhon se tumhaare sath main ne KHwab dekhe the
jin aankhon ne tumhaare pyar ke sailab dekhe the
wo aankhen jo faqat mere liye rab ne tarashi thin
un aankhon ne tumhaare sath mein sadiyan guzari thin
jin aankhon ne tumhaare pyar ke sapne ugae the
jin aankhon ne tumhaare hijr ke qissa sunae the
siyah parde ne un ko Dhak liya hai is liye jaanan
siyah chadar se digar ab mujhe kuchh bhi nahin dikhta
wo aankhen jo meri taswiron ko chume na thakti thin
wo aankhen jo mere didar mein raste ko takti thin
un aankhon ki sabhi baaten nahin jhuTi nahin hongi
ghamon mein un ki barsaten nahin jhuTi nahin hongi
bichhaDna jab hua hoga wo barsi hongi sach-much mein
main dikh jaun kahin ek bar tarsi hongi sach-much mein
in aankhon se bichhaD kar ho gai duniya meri dhundli
siyah chadar se digar ab mujhe kuchh bhi nahin dikhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.