mujhe kya paDi hai
hai sāvan kī pahlī jhaḌī aur zamīñ an-ginat āñsuoñ se dhulī hai
magar ek manzar bhī nikhrā nahīñ hai
parindoñ kī chahkār meñ bhī udāsī ghulī hai
mujhe kyā zarūrat hai
kaliyoñ ke chehre pe muskān kī chāñdnī
maiñ ḳhilā.uñ
hathelī pe ākāsh kī
aarzū ke sitāre sajā.ūñ
mujhe kyā paḌī hai
bulā.ūñ bahāroñ ke mutrib
sikhā.ūñ unheñ
ek anjān mīThī surīlī sī dhun
jis kī lai par
fazāoñ meñ ḳhushiyoñ ke ghuñgrū
bajeñ yuuñ chhanā chhan
ki nāche mirā man
mirā man bhalā fikr us kī kare kyoñ
yahāñ ve nahīñ hai
ve chāhe kahīñ hai
ye kaliyāñ ye ākāsh
mutrib bahāroñ ke sab jānte haiñ
havā.eñ parinde use mānte haiñ
mujhe bhī yaqīñ hai
use lauTnā hai
usī ke tasarruf meñ
ḳhushiyoñ ke lamhe
usī ke tasarruf meñ har ik ghaḌī hai
udāsī kahīñ rāste meñ khaḌī hai
mujhe kyā paḌī hai
hai sawan ki pahli jhaDi aur zamin an-ginat aansuon se dhuli hai
magar ek manzar bhi nikhra nahin hai
parindon ki chahkar mein bhi udasi ghuli hai
mujhe kya zarurat hai
kaliyon ke chehre pe muskan ki chandni
main KHilaun
hatheli pe aakash ki
aarzu ke sitare sajaun
mujhe kya paDi hai
bulaun bahaaron ke mutrib
sikhaun unhen
ek anjaan miThi surili si dhun
jis ki lai par
fazaon mein KHushiyon ke ghungru
bajen yun chhana chhan
ki nache mera man
mera man bhala fikr us ki kare kyon
yahan we nahin hai
we chahe kahin hai
ye kaliyan ye aakash
mutrib bahaaron ke sab jaante hain
hawaen parinde use mante hain
mujhe bhi yaqin hai
use lauTna hai
usi ke tasarruf mein
KHushiyon ke lamhe
usi ke tasarruf mein har ek ghaDi hai
udasi kahin raste mein khaDi hai
mujhe kya paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.