mujhe patthar ki aankh se dekha
do sadā.eñ
ek zamīn churā rahī hai aur ek insān
mujhe merī aañkh churā rahī hai
maiñ mar rahī huuñ
sargoshī meñ band insān
apnā lamha zanjīr kartā hai
aur apne dil kī girah ko chādar kartā hai
saarī muñDereñ
udhārī āñkheñ haiñ
saare mausam mujh se shurūa hote haiñ
dekhne vaalo
mujhe patthar kī aañkh se dekhnā
do sadaen
ek zamin chura rahi hai aur ek insan
mujhe meri aankh chura rahi hai
main mar rahi hun
sargoshi mein band insan
apna lamha zanjir karta hai
aur apne dil ki girah ko chadar karta hai
sari munDeren
udhaari aankhen hain
sare mausam mujh se shurua hote hain
dekhne walo
mujhe patthar ki aankh se dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.